Jaise Sadme Ap Bibi She Gayi Baba Ke Bin
Gar Ye Par Jate Dino Par Misl E Shab Hojate Din
Haye Masooma Fatima Zahra
Haye Mazlooma Fatima Zahra
Hai Laqab Sidiqqa Tera Jante Thy Ye Sabhi
Zulm Ke Darbar Main Tu Phir Bhi Jhutlayi Gayi
Haq Nhi Paya Fatima Zahra
Tere Dar Par Khud Risalat Jhuk Ke Karti Thi Salam
Phir Bhi Ummat Ne Na Smjha Tera Mansab Aur Maqam
Dar Jala Dala Fatima Zahra
Mit Nhi Paya Tha Bibi Baap Ka Ghum Qalb Se
Ghum Naya Ek Mil Gaya Hai Qatl E Mohsin Ka Tujhe
Qalb Rota Tha Fatima Zahra
Waqt E Nazaa Apne Wali Se Yehi Faryaad Ki
Apki Khidmat Jo Puri Kar Na Payi Ya Ali
Yun Hai Sharmida Fatima Zahra
Baad Mere Pyaar Se Bachon Ko Rakhna Ya Ali
Na Kabhi Mehsoos Hone Dena Madar Ki Kami
Ab Chali Dukhiya Fatima Zahra
Shab Ki Tareeki Main Mayyat Ko Meri Le Jana Tum
Zalimo Ko Meri Mayyat Par Na Ane Dena Tum
Hogi Mehw E Buka Fatima Zahra
Baad Mere Karbala Main Sheh Ki Nusrat Ke Liye
Ya Ali Farzand Ek Abbas Hona Chahiye
Mangti Hai Dua Fatima Zahra
Zakhmi Pehlu Ko Sambhale Zabt E Ghum Kis Tarhan Ho
Jane Kyun Hasrat Se Dekha Karti Hain Shabir Ko
Sochti Hai Kya Fatima Zahra
Seena E Shabar Ko Chuma Aur Gala Shabir Ka
Chum Ke Zainab Ke Bazu Ro Pari Be Sakhta
Kya Khayal Aya Fatima Zahra
Kehti Hai Fizza Se Bibi Aye Kaneez E Ba Wafa
Tere Zime Zainab O Kulsoom Ko Maine Kiya
Roti Hain Fizza Fatima Zahra
Khana E Haider Main Barpa Ek Qayamat Hogayi
Waqt Wo Aya Ke Bibi Ki Shahadat Hogayi
Arsh Tharaya Fatima Zahra
Zainab O Kulsoom Fizza Shabar O Haider Yahan
Dur Kone Main Khare Shabir Rote Hain Wahan
Majra Hai Kya Fatima Zahra
Bole Haider Waqt E Rukhsat Maa Ko Kya Rulwaye Gain
Bole Shabir Amma Bulaye Gi Humein Tou Ayenge
Ro Pari Jo Suna Fatima Zahra
Sun Ke Awaz E Shah E Deen Khul Gaye Band E Kafan
Boli Bibi Hath Utha Ke Aa Mere Gul Perahan
De Rahi Hai Sada Fatima Zahra
Aik Na Ek Din Bane Ga Marqad E Veeran Bhi
Dekhne Ayenge Bibi Mazhar O Farhan Bhi
Ap Ka Roza Fatima Zahra
