Meri Mazloom Behna Sakina
Meri Masoom Behna Sakina
Bole Sajjad Laasha Uthakar
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Kya Karu Qaidkhana Hai Yeh Ghar Nahi
Ghusl Dene Ko Pani Mayassar Nahi
Aur Dafnau Kaise Ke Chadar Nahi
Bekasi Aur Ghurbat Main Ay Ghamzada
Jab Tu Royi Tamachon Ki Khayi Saza
Baliyan Chin Gayi Aur Daman Jala
Aur Kaano Ke Khoon Se Hai Kurta Bhara
Haye Tujh Ko Kafan Bhi Nahi Mil Saka
Tu Andheron Se Darti Rahi Meri Jaan
Baap Ke Gham Main Roti Rahi Meri Jaan
Ghar Chalo Maa Se Kehti Rahi Meri Jaan
Tera Armaan Pura Nahi Ho Saka
Aisi Bichri Ke Phir Baap Se Na Mili
Chhut Ke Baba Se Zindaan Ki Qaidi Bani
Haye Ye Baat Sajjad Ko Kha Gayi
Haye Teeron Se Unka Kafan Ban Gaya
Tujh Ko Zindaan Main Baba Ka Sar Jo Mila
Tune Baba Ke Muh Par Jo Muh Ko Rakha
Itna Royi Ke Zindaan Larazne Laga
Rote Rote He Ayi Hai Tujhko Qaza
Kamsini Main Sitam Tune Kitne Sahe
Char Sala Yateema Main Sadqe Tere
Bade Ashoor Soyi Nahi Chain Se
Chain Mar Ke Bhi Tujh ko Nahi Mil Saka
Haye Farhan O Mazhar Ajab Waqt Tha
Us Yateema Ka Jis Dam Janaza Utha
Bibiyon Main Bapa Ek Kohraam Tha
Sabne Qabre Sakina Pe Noha Kiya
