Haza Min Fazl e Hussain Ibn e Ali

Badshah E Jood O Sakha Waris E Noor E Mustafa
Mohsin E Deen E Kibriya Hai Ye Azaano Ki Sada
Haza Min Fazl E Hussain Ibn E Ali
Ayat E Ishq Ye Fitus Ke Paaro Par Hai Likhi
Haza Min Fazl E Hussain Ibn E Ali

Izzat Ul Allah Ne Kya Bakhshi Hai Izzat Dekho
Fatima Zahra Ke Rumaal Ki Azmat Dekho
Hur Jahan Jaata Hai Uth Uth Ke Ye Kehte Hain Nabi

Sab Ki Bigri Hui Taqdeer Banata Hai Hussain
Jis Ko Allah Na Deta Ho Dilata Hai Hussain
Dekh Kar Beton Ko Rahib Ne Ye Injeel Parhi

Jashan Aaqa Ke Nawase Ka Mubarak Tujh Ko
Sadqa De Apne Aqeede Ka Mubarak Tujh Ko
Teen Shaban Agar Hai Tere Honton Pe Hansi

Ban Ke Aya Hai Ye Duniya Main Ghulam E Shabbir
Ye Bataye Ga Zamane Ko Maqam E Shabbir
Goud Main Leke Abal Fazl Ko Madar Boli

Bole Mola Ke Ye Gustakhi Na Kar Bas Karde
Rooh Jaldi Se Mere Dost Ki Wapis Karde
Uth Ke Tasbeeh Ye Phir Ibne Mazahir Ne Parhi

Kab Bhala Mout Ke Dariya Main Utarne De Ga
Janwar Ko Bhi Tera Ishq Na Marne De Ga
Murtajiz Khizr Ki Manid Hai Zinda Ab Bhi

Ya Ali Keh Ke Samat Ko Barha Kar Dekho
Kaan Dewar Se Ek Baar Laga Kar Dekho
Khaana E Kaba Se Awaaz Yehi Aye Gi

Maine Essa Se Kaha Kese Shifa Dete Ho
Aik He Lamhe Main Murde Ko Jila Dete Ho
Hans Ke Kehne Lage Ye Raaz Hai Sun Lo Tum Bhi

Maslihat Hai Jo Abhi Ruk Gaye Mere Sarkar
Keh Ke Ye Parda E Ghaibat Main Gayi Hai Talwar
Shamiyon Chor Rahi Hai Jo Tumhein Teg E Ali

Loh Ke Bas Main Nhi Hai Na Kalam Main Dam Hai
Ba Khuda Sathon Samandar Ki Sihayi Kam Hai
Likhne Bethe Jo Har Ek Sheh Pe Malak Aur Nabi

De Rahe Hain Ye Sada Arsh Pe Jaane Wale
Sidra E Roza E Shabbir Pe Ane Wale
Aj Tou Teri Mulaqat Khuda Se Hogi

Khud Se Bante Nhi Ye Log Chune Jate Hain
Aj Ghar Ghar Main Tere Shair Sune Jaate Hain
Ye Jo Izzat Hai Zamane Main Takallum Teri

Leave a Comment

error: Content is protected !!