Hazaron Ayatein Khaliq Ki Hai Bari Se Bari
Nhi Hai Koi Nishani Mere Nabi Se Bari
Wo Aik Shab Shab E Asrar Pukarte Hain Jisay
Tamam Nabiyon Ki Hai Sari Zindagi Se Bari
Ali Ne Abd Kaha Khud Ko Aur Kiya Sabit
Bas Aik Zaat Muhammad Ki Hai Ali Se Bari
Hussain Pusht Pe Thy Keh Rahe Thy Rasool
Khushi Hussain Ki Hai Meri Bandagi Se Bari
Zamana Kya Hai Madine Main Bhi Mili Na Humein
Koi Gali Bani Hashim Ki Ik Gali Se Bari
Durood Parh Ke Muhammad Bata Gaye Sab Ko
Meri Batool Ki Chaukhat Hai Har Kisi Se Bari
Mili Na Ishq E Muhammad Ki Is Zamane Main
Koi Misaal Abu Talib Ki Ashiqi Se Bari
Rasool Kehte Thy Mola Hasan Ki Amad Per
Koi Khushi Nhi Zahra Teri Khushi Se Bari
Bataya Aya E Balig Ke Lehje Ne Akbar
Ke Ik Manadi Hai Baqi Payambari Se Bari
