Hazrat E Abbas

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar
Abbas Hai Bawafa Abbas Hai Lafatah
Jaisa Ali Haider E Karrar Alamdar
Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Aisa Na Salaar Dobara Hua
Aisa Na Sardar Dobara Hua
Kaisa Jari Shah Ke Lashkar Main Thay
Aisa Na Jarrar Dobara Hua
Maidan Mein Jama Raha Aadaa Mein Data Raha
Dekha Na Aisa Koi Jeedaar

Hazrat E Abbas Alaih e Salam
Jitna Barha Naam Hai Wesa Hi Kaam
Itna Baland Aap Ka Maula Maqaam
Aap Ke Mashkoor Hain Saray Imam
Dill Dill Mein Basa Hua Ghar Ghar Mein Saja Hua
Pak Alam Aur Alamdaar

Aisa Jari Shair Hai Shair E Ali
Shair Bhi Is Shair Sa Darta Hain Jee
Is Ko Zaroorat Nahi Talwar Ki
Ghaiz Ki Kafi Hai Nazar Aik He
Laakhon Sa Ruka Nahi Fojon Sa Daba Nahi
Naam Hai Abbas Khabardar

Jang Ki Khatir Tu Na Ghazi Gaya
Us Ka Tu Dill Mashk E Sakina Mein Tha
Pyas Pe Sadaat Ki Qurban Hua
Warna Yeh No Lakh Ka Lashkar Tha Kya
Pani Jo Na Laa Saka Dariya Pe Hi So Gaya
Pyasi Sakina Ka Woh Gham Khuwar

Parcham E Abbas Pe Aya Karo
Saye Mein Is Ke Sada Betha Karo
Chahta Ho Gar Dua Manzoor Ho
Noha Sakina Ka Sunaya Karo
Parcham Sa Jurha Raho Ghazi Sa Wafa Karo
Mill Ky Kaho Saray Azadar

Jab Hua Shabbir Sa Ghazi Juda
Khaima E Sadaat Mein Kohram Tha
Zainab O Kulsoon Ki Goonji Sada
Haye Ra Abbas Mera Na Raha
Hum Sab Pe Fida Hua Ghazi Ab Nahi Raha
Al E Muhammad Ka Madadgaar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *