Hum Log Mar Gaye

Kon Pohchaye Ga Ab Rizq Ali Zakhmi Hain
Aaj Kufe Ke Yateemo Ki Khuda Khair Kare
Kufe Main Gunjti Hai Sada Har Yateem Ki
Hum Log Mar Gaye Tere Marne Se Ya Ali

Uneeswin Ki Subha Qayamat Ki Thi Khabar
Faqain Hain Teen Roz Se Hum Be Kason Ke Ghar
Duniya Se Tum Gaye Tou Ye Duniya Badal Gayi

Kehta Hai Har Yateem Ke Tanha Na Choriye
Le Jayin Mujh Ko Sath Akela Na Choriye
Kufa Main Hum Gareebon Ka Baqi Nahi Koi

Nabina Ik Zaeef Ye Kehta Hai Barha
Ab Kaun Mujh Ko Hathoon Se Khana Khilaye Ga
Aaye Ga Kaun Pochne Ab Khairiyat Meri

Le Kar Pyalay Sheer Ke Aaye Yateem Sab
Roye Hasan Se Mil Ke Yateman e Kofa Jab
Darwaza e Ali Pe Qayamat Bapa Hoi

Har Haal Mein Sambhalne Wala Chala Gaya
Ghurbat Mein Hum Ko Palne Wala Chala Gaya
Kis Tarhan Se Bhulaein Kareemi Imam Ki

Pehle He Muztarib Thi Tabiyat Hussain Ki
Yaad Aa Gayi Imam Ko Phir Apni Ladli
Dar Par Sada Jo Kufe Ke Bachon Ne Aa Ke Di

Bahir Jo Ghar Se Aaya Janaza Imam Ka
Rone Se Ahlebait Ke Kufa Larz Gaya
Charon Taraf Se Aati Thi Aawaz Bas Yehi

Ye Kon Bibi Hai Jo Janaze Ke Sath Hai
Jhuk Jhuk Ke Chal Rahi Hai Woh Pehlu Pe Hath Hai
Kya Fatima Yeh Sun Ke Madine Se Aa Gayi

Maaein Yeh Keh Ke MIR TAKALLUM Hui Nidhal
Rakhte Thy In Yateemo Ka Kitna Ali Khayal
Mehsos Ho Gi Bachon Ko Ab Baap Ki Kami

Leave a Comment

error: Content is protected !!