Hur Aa raha Hai Akbar

Hur Aa Raha Hai Akbar Seene Usay Lagao
Mehman Ko Humare Khaime Mein Leke Aao
Khud Yaad Hoga Usko Paani Tha Usne Roka
Khuddar Wo Bohot Hai Sharminda Hum Se Hoga
Pyaase Hain Sare Bache Usko Na Ye Batao

Dekho Wo Chal Raha Hai Maidan Mein Larkhara Kar
Girne Se Pehle Akbar Usko Sambhalo Jaa Kar
Aye Mere Shahzade Jaldi Qadam Barhao

Abbas Apne Dil Se Har Baat Saaf Kardo
Maa Fatima Ke Sadqe Hur Ko Maaf Kardo
Jakar Alam Ke Usko Saye Mein Leke Aao

Beta Hussain Qaidi Kaise Kisi Ko Dekhe
Meri Taraf Se Kholo Tum Uske Haath Jaa Ke
Baba Khafa Nahi Hai Jaa Kar Usay Batao

Tum Se Bhi Pehle Marne Jaye Ga Uska Beta
Jee Bhar Ke Dekhle Wo Apne Pisar Ka Chehra
Kam Waqt Reh Gaya Hai Jaa Kar Usay Batao

Taa Hashr Ye Kareemi Sab Yaad He Rakhe Ge
Mehman Ka Paseena Khud Saaf Hum Karein Ge
Fizza Humari Maa Ka Rumaal Leke Aao

Jis Dum Suni Ali Ki Beti Ne Ye Sadaein
Aansu Baha Ke Usko Dene Lagi Duaein
Bachon Se Phir Ye Boli Hur Ko Gale Lagao

Maa Fatima Ke Lab Par Uske Liye Dua Hai
Ghurbat Mein Us Ne Hum Par Ehsaan Kar Diya Hai
Hur Ke Ghulam Ko Bhi Izzat Se Leke Aao

Sajjad Kya Bayan Ho Kehti Thi Binte Zahra
Bhai Ki Jaan Bachane Ek Aur Habib Aaya
Mera Salam Fizza Pohucha Ke Usko Aao

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *