Sajdon Ki Chand Rat Azanon Ki Eid Hai
Duniya Ke Aaj Sare Jawanon Ki Eid Hai
Arsh Se Farsh Pe Har Rukh Se Kamal Aata Hai
Ghar Mei Shabbir Ky Shabbir Ka Laal Ata Hai
Farsh Par Ban Ky Muhammad Ki Misal Ata Hai
Is Ki Khilqat Ka Jo Socho To Khayal Ata Hai
Samny Pehly Muhammad Ko Bithaya Ho Ga
Phir Khuda Ny Ali Akbar Ko Banaya Ho Ga
Hussain Ka Akbar
Hukm E Khaliq Hai Keh Hona Hai Nuzool E Akbar
Husn Hi Husn Nazar Aye Jidhar Jaye Nazar
Saj Gaye Dono Jahan Kitna Haseen Hai Manzar
Bich Gaya Farsh Pe Jab Arsh E Bareen Tab Ja Kar
Umme Laila Ki Tamanaon Ka Mehwar Utra
Noor Ky Saye Mein Shabbir Ka Akbar Utra
Baap Se Bete Ki Jab Pehly Mulaqat Hui
Ankhon Ankhon Mein Haseenon Ki Haseen Baat Hui
Noor E Akbar Ky Ujalon Mein Basar Raat Hui
Dekha Shabbir Ny Chehra To Adaa Naat Hui
Jaisa Chaha Tha Mila Hai Mujhy Beta Wesa
Mera Akbar To Nazar Ata Hai Nana Jaisa
Paye Jab Amad E Akbar Ki Khabar Zainab Ny
Muskurate Huwe Ki Rah Basar Zainab Ny
Shams Ki Goud Mein Dekha Jo Qamar Zainab Ny
Khud Sitaron Sy Utari Hai Nazar Zainab Ny
Bhai Sy Boli Bahan Aik Samajh Kar Day Do
Meri Aghosh Mein Bhaiya Mera Akbar Dy Do
Ly Ke Aghosh Mein Zainab Ne Kaha Kya Kehny
Tera Chehra Teri Har Aik Ada Kya Kehny
Teri Ankhon Mein Nazar Aye Khuda Kya Kehny
Khud Yeh Quran Bhi Deta Hai Sada Kya Kehny
Jab Sy Ghar Aaya Hai Tu Husn E Misali Ban Kar
Chand Dehleez Py Betha Hai Sawali Ban Kar
Dekha Abbas Ne Chehra Jo Ali Akbar Ka
Bole Ek Aur Sipahi Mer Lashkar Ko Mila
Roab Ankhon Mein Nazar Aaya Jo Apne Jaisa
Kam Sini Mein Yeh Chalan Dekh Ky Ghazi Ny Kaha
Kaisy Talwar Chalaty Hain Sikhaun Ga Isy
Dekhna Sani E Abbas Banaun Ga Isy
Kaha Shabbir Ny Sajjad Sy Aao Dekho
Ali Akbar Ki Nazar Dhund Rahi Hai Tum Ko
Choty Bhai Ky Qareeb Aya Bara Bhai Ko
Muskuraty Huye Akbar Sy Kaha Kaisy Ho
Hai Qasam Husn Ki Tu Itna Haseen Hai Akbar
Tere Chehry Sy Nazar Hat’ti Nahi Hai Akbar
Dekho Zeeshan O Raza Kaisa Shabab Aya Hai
Nojawani Ky Gulistan Mein Gulab Aaya Hai
Is Liye Chehra E Akbar Py Naqab Aya Hai
Koi Na Keh Dy Muhammad Ka Jawab Aya Hai
Sath Shabbir Ky Akbar Jo Kahin Jaty Hain
Us Ky Deedar Ko Yousuf Bhi Chaly Aty Hain
