Hussain Maqtal Main Chup Khare Hain
Lahu Lahu Hai Libas Sara Mere Khudaya
Ajeeb Manzar Tha Karbala Ka Zameen Pa Bikhre Pare Hain Lashe
Yahan Hai Sadat Pe Musibat Wahan Laeen Peet Te Hain Tashe
Udasiyan Parh Rahi Hai Noha Mere Khudaya
Gareeb E Zahra Ke Rukh Pe Asghar Ka Khoon E Na Haq Laga Hua Hai
Aba Ka Daman Jawan Akbar Ke Khoon Se Gilta Ho Chuka Hai
Nazar Jami Hai Sowe Sakina Mere Khudaya
Hussain Mal Mal Ke Apni Ankhein Zameen Par Dekhe Ja Rahe Hain
Hai Aik Gathri Jo Khoon Main Tar Hai Ussi Pe Ansoo Baha Rahe Hain
Ye Gathri Qasim Ka Hai Sarapa Mere Khudaya
Bhen Ke Bache Jawan Bhai Jawan Bhateeja Guzar Chuka Hai
Na Ab Hai Ansaar Koi Baqi Habib Bhi Ab Tou Mar Chuka Hai
Ke Ghar Ka Ghar Lut Gaya Hai Sara Mere Khudaya
Hai Murtajiz Sath Sath Sheh Ke Imam Ke Gird Ke Ghoomta Hai
Kabhi Pakarta Hai Sheh Ka Daman Kabhi Wo Qadmon Ko Chumta Hai
Hai Sheh Ka Ghora Bhi Mehw E Giriya Mere Khudaya
Hussain Mur Mur Ke Dekhte Hain Khayal Zainab Ka Araha Hai
Ke Ane Wali Hai Sham E Gurbat Jabhi Tou Dil Dooba Ja Raha Hai
Bache Ga Kese Haram Ka Parda Mere Khudaya
Humein Hai Yasir Raza Ye Dharas Ke Muntaqim Hain Imam Mehdi
Yazeediyon Se Khud Aake Le Ge Hussain Ka Intaqam Mehdi
Wo Soch Kar Kar Rahe Hain Girya Mere Khudaya
