Imam E Zamana

Tera Muntazir Hai Ye Saara Zamana
Imam E Zamana
Hame Jeete Ji Apna Chehra Dikhana

Saza Dijiye Usko Parda Hatakar
Jo Fatwe Lagata Hai Farshe Aza Per
Bane Zulfiqar E Ali Ka Nishana

Sunau Ali Ka Qasida Hai Hasrat
Ay Mola Ho Jis Me Tumhari Sidarat
Hai Woh Jashn Kaabe Me Jaakar Manana

Woh Jis Ghar Ke Chakkar Lagaata Jahaan Hai
Ay Waris Batana Woh Kiska Makaan Hai
Alam Jab Bhi Kaabe Ki Chhat Per Lagana

Kaash Me Mehdi E Doran Ka Zamana Dekhun
Baarwein Haider E Karrar Ka Chehra Dekhun

Tu Mehdi Ki Gaibat Pe Shak Kar Raha Hai
To Phir Uske Aane Se Kyun Dar Raha Hai
Haqeeqat Hain Hargiz Nahin Hai Fasana

Koi Hai Muqassir To Koi Hai Ghali
Kahaan Jaaye Zikre Ali Ka Sawali
Hai Mushkil Yahan Per Aqeeda Bachana

Ali Ke Ali Ho Suno Jald Aao
Tum Ab Apne Chehre Se Parda Hatao
Ho Deewar E Kaba Ka Phir Muskurana

Aye Mola Safar Mera Aasaan Kardo
Karim E Wila Ko Bhi Zeeshan Kardo
Mile Jald Tum Se Tumhara Deewana

Leave a Comment

error: Content is protected !!