Utha Ke Parda Dikha Do Jalwa
Aye Ibn E Zahra Imam E Zamana
Haseen Manzar Wo Kab Dikhe Ga
Khuda Ke Ghar Pe Alam Ka Saya
Namaz Parhwaein Ge Jo Maula
Tou Piche Saf Mein Milen Ge Issa
Haram Mein Majlis Bapa Karein Ge Parhein Ge Nauha
Bohot He Chota Sa Ghar Hai Mera
Par Is Mein Hujra Hai Aik Tera
Sharaf Ye Mere Liye Bara Hai
Tu Mujh Se Kar Le Ye Aik Wada
Bas Aik Shab Ko Tu Mere Ghar Mein Qayam Karna
Misal E Kaba Ye Dil Hai Mera
Hai Is Mein Maula Tera Basera
Sada E Dharkan Mera Areeza
Bhala Main Kaghaz Pe Ab Likhu Kya
Jo Dharkano Ki Sada Sune Ga Tu Jaan Lega
Safar Tha Paidal Jab Arbaeen Ka
Main Har Jagah Tujh Ko Dhoondhta Tha
Tu Zaairo Mein Tu Ashiqo Mein
Aye Mere Maula Kahin Tou Hoga
Ye Soch Kar He Main Sab Ke Qadmo Ko Chumta Tha
Kitab E Haq Se Ye Maine Jaana
Har Aik Shey Ko Panah Hai Maula
Laga Hua Hai Qaza Ka Pehra
Nahi Hai Saanso Ka Ab Bharosa
Jo Band Hojaye Meri Ankhein Mujhe Jagana
Tujhe Tasawur Mein Jab Bhi Dekha
Ali Ke Jaisa Tera Hasham Tha
Hai Tere Qabze Mein Tegh E Haider
Alam Hai Kandhe Pe Ba Wafa Ka
Misal E Dul Dul Sawaar Andaaz Fatehana
Dua Hai Mazhar Ki Raat Din Ab
Kahein Ge Ameen Matami Sab
Ho Sehne Kaaba Mein Jab Bhi Majlis
Karaye Zikr E Hussain O Zainab
Ba Garz E Nauha Tum Apne Farhan Ko Bulana
