Aakhri Baar Mera Haal e Musibat Sunlo
Bhai Sajjad Sakina Ki Wasiyat Sunlo
Jab Bhi Ho Karbobala Aap Ka Jaana Bhaiya
Meri Rudad Chacha Jaan Ko Sunana Bhaiya
Ye Wsaiyat Meri Tum Bhool Na Jaana Bhaiya
Wo Agar Puchain Mere Haal Chacha Se Kehna
Meri Neendain Hui Pamaal Chacha Se Kehna
Taziyano Ka Sab Ehwaal Chacha Se Kehna
Ab Bhi Neele Hai Mere Gaal Chacha Se Kehna
Jo Sitam Mujha Pa Huwe Saare Batana Bhaiya
Paon Jalte Thay Mere Hoti Thi Eeza Mujhko
Chaon Main Baithne Na Dete Thay Aada Mujh Ko
Jab Bhi Chalte Huwe Ghash Dhoop May Aaya Mujh Ko
Unth Ki Pusht Se Jallad Ne Baandha Mujh Ko
Main Bahot Royi Magar Shimr Na Maana Bhaiya
Jab Haram Qaid Huwe Maine Chacha Ko Dhoonda
Jab Bandhe Baara Galay Maine Chacha Ko Dhoonda
Jab Gohar Mere China Maine Chacha Ko Dhoonda
Jab Mujhe Durre Lagay Maine Chacha Ko Dhoonda
Wo Agar Hote Satata Na Zamana Bhaiya
Qaid Khane Se He Mansoob Hai Ab Raat Meri
Hoga Ehsaan Nibha Doge Agar Baat Meri
Chain Se Qabr Main Ghat Jayegi Har Raat Meri
Jeete Ji Unse Na Ho Payi Mulaqaat Meri
Sar Chacha Jaan Ka Meri Qabr Pe Laana Bhaiya
Karbala Jao To Aisa Nahi Hone Dena
Unko Tanhai Ka Sadma Nahi Hone Dena
Mere Ammu Ko Akela Nahi Hone Dena
Qabr E Ghazi Pe Andhera Nahi Hone Dena
Ek Diya Meri Taraf Se Bhi Jalana Bhaiya
Mere Ehsaas E Ghareebi Se Bachana Unko
Yad Wo Waqt E Musibat Na Dilana Unko
Mera Ehwaale Kaneezi Na Sunana Unko
Hashmi Sher Hai Mat Yaad Dilana Unko
Main Nahi Chaahti Phir Hashr Uthana Bhaiya
Qaid Se Choot Ke Jab Karbaola Jaoge
Pehle Tu Karna Salaam Unko Meri Jaanib Se
Phir Batana Ke Ye Din Kaise Guzaare Maine
Aur Jab Phool Chadane Lago Us Turbat Pe
Meri Jaanib Se Rida Meri Urhana Bhaiya
Sunke Arif Ye Wasiyat Thi Qayamat Thi Barpa
Lashe Abbas Tadapti Thi Sare Karbobala
Aur Sajjad Ki Aankhon Se Lahoo Jaari Tha
Jis Ghari Baali Sakina Ne Ye Aahista Kaha
Meri Mayyat Ko Andhere Main Uthana Bhaiya
