Jab Karbala Ki Samt Barha Haq Ka Rehnuma
Kuch Aagaya Khayal Jo Maa Ke Mazaar Ka
Aaya Soo E Baqi Wo Zahra Ka Laadla
Rukhsaar Rakh Ke Sadr E Lahad Par Ye Di Sada
Chutta Hai Ab Madina Mere Dil Ko Thaam Lo
Amma Ghareeb Bete Ka Aakhir Salam Lo
Amma Tumhare Laal Se Chutta Hai Aaj Ghar
Amma Tumhare Laal Se Bargashta Har Nazar
Amma Tumhare Laal Ka Dushman Hai Har Bashar
Amma Tumhare Laal Ka Hai Aakhri Safar
Sehra Mein Dil Ke Tukron Ki Basti Basaye Ga
Amma Hussain Ab Na Madine Mein Aaye Ga
Maa Se Ye Keh Raha Tha Abhi Maa Ka Ladla
Awaaz Aayi Qabr Se Aye Mere Mehlaqa
Sadqe Teri Musibat O Ghurbat Ke Fatima
Bas Aye Hussain Bas Ke Hila Arsh E Kibriya
Tarpe Abul Hasan Bhi Dil E Be Karaar Se
Beta Rasool E Haq Nikal Aaye Mazaar Se
Aye Mere Laal Tere Iraadon Ke Main Nisaar
Ye Aakhri Safar Hai Mere Dil Ka Izteraar
Kaise Kahun Jo Dil Pe Guzarti Hai Gul Azaar
Hota Hai Be Charagh Mere Baap Ka Mazaar
Jo Tujh Pe Zulm Honge Ye Dukhiya Uthaye Gi
Beta Ye Ghum Naseeb Tere Saath Jaye Gi
Aansu Bahaun Gi Tere Ranj O Alam Ke Saath
Aankhein Bichaun Gi Tere Naksh E Qadam Ke Saath
Zehra Nedhaal Hogi Har Ek Taaza Ghum Ke Saath
Mera Kaleja Nikle Ga Akbar Ke Dum Ke Saath
Ghabra Na Mere Laal Har Ek Dukh Bataun Gi
Main Tere Saath Lasha E Akbar Uthaun Gi
Jaye Ga Tu Jo Nehr Pe Bhai Ki Laash Par
Main Tere Saath Saath Chalun Gi Barehna Sar
Beta Hussain Kya Tujhe Is Ki Nahi Khabar
Abbas Tera Bhai Tou Mera Dil O Jigar
Tu Lash Laye Ga Tou Saf E Ghum Bichaun Gi
Main Goud Mein Kate Hue Haathon Ko Laun Gi
Beta Hasan Ke Laal Ki Khatir Ye Kya Malaal
Mere Hasan Ne Tujh Pe Nichawar Kiya Wo Laal
Fidye Ke Waaste Koi Karta Hai Yun Malaal
Beta Main Us Ghari Bhi Rahungi Shareek E Haal
Ghum Hai Qadam Utha Ke Dil E Paash Paash Ke
Tukre Chunu Gi Ran Main Main Qasim Ki Laash Ke
Haan Mere Laadle Meri Zainab Se Hoshiyaar
Be Parda Ho Na Jaye Kahin Meri Parda Daar
Mehmil Ke Saath Saath Ho Abbas E Zeen Waqar
Takeed Ho Ye Akbar E Mehroo Ko Baar Baar
Amada Har Qadam Pe Rahe Peshwayi Ko
Takleef Ho Na Raah Main Zehra Ki Jaayi Ko
Jaa Marqad E Rasool Pe Aye Mere Laal Afaam
Lazim Hai Nana Jaan Ko Bhi Aakhri Salam
Dena Meri Taraf Se Ye Hasrat Bhara Payam
Mumkin Nahi Madine Mein Zehra Kare Qayam
Tum Bhi Lahu Mein Apna Chaman Dekhne Chalo
Zainab Ke Bazuon Mein Rasan Dekhne Chalo
