Momino Ko Mubarak Ali Agaye
Jab Ali Agaye Zindagi Agayi
Zindagi Bandagi Roshni Agayi
Roshni Agayi Aagahi Agayi
Mout Tere Muhibon Ko Ati Nhi
Aa Bhi Jaye Tou Phir Bach Ke Jati Nhi
Mout Ka Kya Khatar Mout Se Kya Khazar
Is Se Bachna Bhi Kya Agayi Agayi
Gusl E Mayat Na Kehna Mere Gusl Ko
Ujl E Malboos Ko Mat Kafan Naam Do
Main Chala Hoon Ali Se Mulaqat Ko
Jis Ki Thi Arzoo Wo Ghari Agayi
Jis Ka Mola Tha Main Uska Mola Ali
Jab Nabi Ne Kaha Deen Kamil Hua
Marhaba Mustafa Rab Bhi Razi Hua
Wo Jo Ana Thi Ayat Wohi Agayi
Jibraeel Aur Qamber Pa Kya Munhasar
Dar Tera Chor Kar Koi Jata Nhi
Jo Ghulami Ka Teri Maza Pa Gaya
Ras Jis Ko Teri Nokri Agayi
Maslq E Ishq Main Mangna Aaib Hai
Main Bhi Khamosh Hoon Wo Bhi Khamosh Hain
Unko Sab Hai Khabar Is Liye Chup Hoon Main
Kya Hua Ankh Main Gar Nami Agayi
Khums Dena Mawadat Ki Ek Shart Hai
Aur Na Dena Bhi Misl E Fidak Hai Gunnah
Haq E Sadat O Zahra Ke Maqrooz Se
Jab Tabbara Suna Tou Hasi Agayi
Teri Masnad Pa Ghairon Ko Bithla Diya
Naaib E Mustafa Mazhar E Kibriya
Tu Ali O Wasi O Ali He Raha
Manzilat Main Teri Kya Kami Agayi
Hum Ke Sarshar Ishq O Tawala Main Thy
Jante He Na Thy Nafrat O Dushmani
Ye Tabbara Bhi Wallah Kya Cheez Hai
Hum Ko Aghyar Se Dushmani Agayi
Ishq Jab Tak Na Ho Sher Hota Nhi
Mujh Main Kab Ahliyat Thi Teri Midha Ki
Mere Mola Main Qurban Tere Ishq Ke
Sibte Jafar Ko Bhi Shairi Agayi
