Jahaan Mein Qaid Hoon Baba

Jahaan Mein Qaid Hoon Baba Bara Andhera Hai
Teri Sakina Ko Tareekiyon Ne Ghera Hai

Bas Eik Baar Jo Aakar Milo To Sojaon
Mei Apne Baba Ke Sar Par Nisaar Hojaon
Ukharti Sanson Ko Ab InTezaar Tera Hai

Laeen Ne Mari Thi Baba Tere Labon Pe Charrdi
Uchhall Te Naqay Se Mein Munh Ke Bal Zameen Pe Giri
Jo Haal Tera Hua Tha Wo Haal Mera Hai

Lagay Tamanchay To Behosh Gham Se Hojaon
Bardhay Tamanchon Ki Shiddat To Hosh Mein Aaon
Yehi Hai Raat Meri Aur Yehi Sawera Hai

Tamanna Dill Se Rehae Ki Mitt Gayi Baba
Madinay Jaanay Ki Hasrat Nahi Rahi Baba
Mujhe Ye Lagta Hai Ab Qaid Mein Basera Hai

Poet: Hasnain Akbar
composition: Sheraz Khan
Matami Sangat: Anjuman Guldasta e Jafferia

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *