Jahan Mein Qaid Hoon Baba Bara Andhera Hai
Teri Sakina Ko Tareekiyon Ne Ghera Hai
Bas Eik Baar Jo Aakar Milo To Sojaon
Main Apne Baba Ke Sar Par Nisaar Hojaon
Ukharti Saanson Ko Ab Intezaar Tera Hai
Laeen Ne Maari Thi Baba Tere Laboon Pe Charrdi
Uchhall Te Naqay Se Mein Munh K Ball Zameen Pe Giri
Jo Haal Tera Hua Tha Wo Haal Mera Hai
Lagay Tamanchay To Behosh Gham Se Hojaon
Bhary Tamanchon Ki Shiddat To Hosh Mein Aaoon
Yehi Hai Raat Meri Aur Yehi Sawera Hai
Tamanna Dill Se Rehae Ki Mitt Gayi Baba
Madinay Jaanay Ki Hasrat Nahi Rahi Baba
Mujhe Ye Lagta Hai Ab Qaid Main Basera Hai
Poet: Hasnain Akbar
Soz: Shiraz Khan
Matami Sangat: Anjuman e Guldasta e Jafferia
