Jannat Ki Shahadi Sasural Ja Rahi Hai

Charon Taraf Fizaa Mein Khushboo Si Chha Rahi Hai
Jannat Ki Shahadi Sasural Ja Rahi Hai

Hathon Main Hal Ata Ka Kangna Bandha Hua Hai
Mathain Pe Kulkafa Ka Jhumar Saja Hua Hai
Chehre Pe Lafatha Ka Ghaza Mala Hua Ha
Aanchal Se Innama Ki Zauchhnke Aa Rahi Hai

Jhilmil Huwe Sitare Walajm Ke Aba Main
Jhalar Hai Ghurbaton Ki Chaaron Taraf Kaba Mein
Koun o Makaan Ke Paak Pevand Hain Rida Mein
Chakki Tilaawaton Ki Lay Gunguna Rahi Hai

Jannat Ke Phool Aaye Tuba Ki Aayi Daali
Kanon Mein Jhilmilayi Sharmo o Haya Ki Baali
Maraj Mil Hai Nath Kyun Na Ho Hilaali
Hasli Sadaqaton Ki Gardan Mein Bha Rahi Hai

Wal Fajr Aake Sadqa Rukhsaar Ka Utaare
Wal Lail Aake Gaisuon Sham o Sahar Sanwaare
Wa Shams Wal Qamar Ke Kaanon Mein Goshware
Watteen Ki Har Ayat Sandal Laga Rahi Hai

Do Phool Ismaton Ke Gulshan Ke Khil Rahain Hain
Alhamd Aur Kausar Do Sura Mil Rahain Hain
Behrain Yeh Azal Se Hilmuttasil Rahain Hain
Qudrat Bhi Is Milan Par Khud Muskura Rahi Hai

Fakhr e Jinnah Dulhan Hai Shah e Zamaan Hai Dulha
Ismat Zuban Dulhan Hai Quran Sukhan Hai Dulha
Khair un Nisa Dulhan Hai Khaibar Shikan Hai Dulha
Tatheer Aayaton Ki Doli Saja Rahi Hai

Azm e Khaleel Khush Hain Masroor Zuhde Isa
Adam Ke Sar Pe Haq Ne Khuld Ka Taaj Rakha
Moosa Ko Wajd Aaye Dawood Parhne Sehra
Kaunain Ki Risalat Moti Luta Rahi Hai

Fursat Mili Jahan Ko Duniya Ke Ranj o Gham Se
Mushkil Hui Har Aasan Nad e Ali Ke Dam Se
Alfaaz Aise Nikle Nayar Tere Qalam Se
Aamir Ki Dhun Mein Fitrat Bhi Gunguna Rahi Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *