Hussain Ka Jo Soog Hai Na Khatm Hoga Ba Khuda
Moharram O Safar Na Ho To Ghum Na Hoga Saath Kya
Zindagi Ke Saath Bhi, Zindagi Ke Baad Bhi
Baadshah Hamara Ya Hussain
Janam Ya Hussain
Maula Awaaz Do Hume Parwaaz Do
Hum Azadaro Ki Taqdeer Jaga Do
Aapka Saath Ho Aapki Baat Ho
Dil Mera Apna Azakhana Bana Do
Zinda Wafadari Rahe Farsha Azadari Rahe
Tujh Pe Jiye Tujhpe Mare Naukri Ye Chalti Rahe
Hum Rahe Na Rahe Hum Jiye Na Jiye
Is Jahan Ke Saath Bhi Is Jahan Ke Baad Bhi
Badshah Badshah Badshah Ya Hussain
Tera Ye Gham Saath Rahe Tera Karam Saath Rahe
Chalte Rahe Ehle Azaa Aur Alam Saath Rahe
Har Qadam Dum Badam Saath Ho Tera Gham
Karbala Ki Qasam
Dhadkano Ke Saath Bhi Dhadkano Ke Baad Bhi
Mola Mere Dil Ki Sada Maang Raha Hon Ye Dua
Mola Tere Naam Rahe Jeena Mera Marna Mera
Ay Khuda Sun Sada Hai Yehi Iltejaa Tu Dikha Karbala
Is Dua Ke Saath Bhi Is Dua Ke Baad Bhi
Aaqa Shahe Karbobala Tune Bada Kaam Kiya
Deen Pe Sab Vaar Diya Phir Bhi Tera Sar Na Jhuka
Ghar Diya Sar Diya Bach Gaya La Ilaha Saj Gayi Karbala
Karbala Ke Sath Bhi Karbala Ke Baad Bhi
Jeete Raho Ehle Azaa Dil Mein Rahe Karbobala
Shaad Raho Chalte Raho Pehne Hue Shale Azaa
Hai Dua Ho Sadaa Har Jagah Ye Azaa Ye Sadaa Ye Nawaa
Majliso Ke Saath Bhi Majlison Ke Baad Bhi
Nabi Ali O Fatima Hasan Ke Chain Marhaba
Khuda Ke Noor Panjtan Ke Noor e Aen Marhaba
Sada Rahe Ye Silsila Na Toote Tujhse Raabta
Tu Dhadkano Mein Bas Gaya Tu Rooh Mein Sama Gaya
Lahoo Main Mere Goonjta Hussain
Hamara Hai Aata Pata Hussain
Salam Aashiq E Khuda
Salam Jaan E Mustafa
Salam Qalb E Murtaza
Salam Rooh E Fatima
Salam Shah E Karbala
Ghareeb E Nainawa
Ghareeb E Fatima
Ghareeb E Murtaza
Hussain Ya Hussain
