Jis Ne Jaise Chaha Usne Waise Maara

Amma Mera Yeh Badan Dekho Hai Para Para
Jis Ne Jaise Chaha Usne Waise Maara

Koi Kehta Tha Ke Talwar Se Maaro Isko
Koi Kehta Tha Ke Ghore Se Gira Do Isko
Koi Naiza Liye Aaya Hai Tu Koi Bhaala

Paas Aa Aa Ke Mere Teer Hain Itne Maare
Toar Kar Mera Badan Pusht Se Baahar Nikle
Ab Bhi Teeron Pe Muallaq Hai Tera Shahzada

Pasliyan Tooti Tu Maa Main Ne Tujhe Yaad Kiya
Zarb Jo Sar Pe Lagi Kehta Tha Baba Baba
Kitne Sangdil Hain Yeh Sab Reham Na Mujh Par Khaya

Chakiyan Pees Ke Amma Jise Paala Tumne
Nange Paon Jise Ghar Se Na Nikala Tumne
Ho Gaya Amma Badan Aaj Woh Zakhmi Saara

Taigh Barchhi O Seenaa Zulm Ke Khanjar Maare
Jis Ko Kuch Bhi Na Mila Usne Bhi Pathar Maare
Jis Ke Jo Haath Laga Zulm Usi Se Dhaya

Amma Jis Waqt Talak Ghazi Mera Zinda Tha
Ek Bhi Zakhm Mere Jism Pe Aane Na Diya
Baad Abbas Ke Yeh Haal Hua Hai Mera

Amma Roomal Koi Mujh Ko Bhi De Do Apna
Hur Ki Tarah Se Lahu Mera Bhi Ruk Jaayega
Itna Zakhmi Hai Badan Khoon Nahi Rukta Mera

Mujh Se Pehle Yeh Sitam Maa Mere Akbar Pe Hua
Jis Ghari Laal Mera Zeen Se Zameen Par Aaya
Lash Pe Pohcha Jo Akbar Ki Tu Maine Dekha

Ab Tu Har Samt Hain Ye Ahle Jafa Aur Main Hon
Shimr Ki Kund Churi Sookha Gala Aur Main Hon
Amma Shabbir Tera Ab Nahi Bachne Wala

Haaye Farhan Ali Kaisi Ghari Thi Woh Bhi
Jis Ghari Zill e Raza Kund Chhuri Shah Pe Chali
Noha Karta He Raha Pyare Nabi Ka Pyara

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *