Haye Baba Ujar Gayi Zainab
Jo Muhafiz Tha Mere Parda Ka
Ab Wo Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahin Raha Baba
Karbala Mein Ghareeb Zainab Par
Haye Kaisa Sitam Hua Baba
Kal Madina Se Aayi Thi Zainab
Bhai Baiton Ke Saath Karbala Mein
Ro Rahi Hai Haya Ki Shehzadi
Aaj Ahl e Sitam Ke Narghay Mein
Aur Labon Par Yehi Duhaayi Hai
Haye Ghar Lut Gaya Mera Baba
Mere Abbas Ke Kate Bazu
Jis Ghari Alqama Ke Sahil Par
Jal Gaye Khaima Chin Gayi Chadar
Lut Gaya Ghar Sitam Hua Hum Par
Ab Wo Ghazi Bhi Na Raha Mera
Jo Tha Mushkil Main Aasra Baba
Baba Apni Aba Ke Saye Mein
Tum Ne Jis Laadle Ko Paala Tha
Us Ka Be Sar Sitam Zada Laasha
Karbala Ki Zameen Pe Hai Rakha
Mere Bhai Hussain Ko Ban Mein
Ek Kafan Tak Bhi Na Mila Baba
Baba Jo Tha Shabeeh e Nana Ki
Us Ke Seenay Mein Hai Sinan Tooti
Us Ne Tohra Wahan Pe Dam Baba
Aur Meri Kamar Yahan Tooti
Mera Akbar Bhi Dasht e Ghurbat Mein
Dagh e Furqat Ka De Gaya Baba
Jo Mere Aun Aur Mohammad Thay
Dasht Mein Un Ke Hain Pare Laasha
Na Main Paani Pila Saki Un Ko
Aur Duniya Se Woh Gaye Pyaasa
Ta Qayamat Tumhari Zainab Ko
Ab Yehi Gham Rulayega Baba
Mere Sar Se Cheeni Thi Jab Chadar
Aur Daaman Jala Sakina Ka
Main Ne Rote Hua Sadaaein Di
Mera Ghazi Magar Nahin Aaya
Meri Fariyaad Sun Ke Maqtal Mein
Us Ka Laasha Tarhap Gaya Baba
Kaisa Manzar Sahab Tha Gham Ka
Jis Ko Farhan Parh Nahin Paaya
Shaam e Ghurbat Mein Aamade Haider
Ek Qayamat Haram Mein Thi Barpa
Baap Ko Dekh Kar Giri Zainab
Khaak Par Aur Yehi Kaha Baba
