Jungle Main Bhare Ghar Ko Luta Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Abid Ko Kisi Tarhan Bacha Layi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Bandwa ke Rasan Hathon Main Aur Khutba Suna Kar
Ghar Bar Luta Kar
Deewar Bare Kufr Ki Dha Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Jis Shair Main Shahzadiyon Ki Tarhan Rahi Thi
Nazon Sa Pali Thi
Sar Nanga Usi Shair Main Ho Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Jo Hijr Pidar Main Rahi Har Waqt Pareshan
Soyi Nahi Ik Aan
Is Bachi Ko Zindan Main Sula Ayi Hai Zaina
Ayy Shehar e Madina
Dharas Thi Bohat Bhai Ko Jis Bhai Ke Dam Sa
Dil Phata Hai Ghum Sa
Sahil Pa Akela Usa Chor Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Cha Mah Ke Asghar Ko Bhi Jhula Ke Bajaye
Dukh Dard Chupaye
Aaghosh Main Turbat Ke Sula Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Tha Aun O Muhammad Jo Mere Ankhon Ke Tara
Mamu Ke Dulare
Qurban Unhain Bhai Pe Kar Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Tha Akbar Nashad Jo Is Ghar Ka Ujala
Wo Gaysoon Wala
Marqad Main Akela Usa Chor Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Kis Waqt Khuda Jane Qadam Nikle Tha Ghar Sa
Chadar Chini Sar Sa
Ab Tak Na Masaib Sa Nikal Payi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Shabbir Pe Ab Roye Ga Ta Hashr Zamana
Hai Ghum Ka Fasana
Majlis Ki Beena Sham Main Kya Layi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
Reh Jaye Ga Akhtar Ufaq E Ghum Pe Tera Naam
Kya Khob Hai Inaam
Noha Tera Sunne Ke Liya Ayi Hai Zainab
Ayy Shehar e Madina
