Hawa E Karam Kab Chalao Ge Mola
Diye Zulm Ke Kab Bujhao Ge Mola
Ye Ghaibat Kahan Tak Barhaao Ge Mola
Kab Apni Ziyarat Karao Ge Mola
Kab Aaoge Mola
Judai Main Kab Tak Rulaaoge Mola
Kab Aaoge Mola
Hui Aik Muddat Sitam Sehte Sehte
Zabaan Thak Chuki Al Ajal Kehte Kehte
Humein Kab Ghamon Se Churao Ge Mola
Areezon Ko Kab Tak Waseela Banaein
Tumhein Haal E Dil Saamne Ab Sunaein
Kab In Faaslon Ko Mitao Ge Mola
Wilayat Ko Zakhmi Kiye Jaa Rahe Hain
Sab Ek Dusre Se Lare Jaa Rahe Hain
Kab Aapas Main Inko Milao Ge Mola
Zahoor Aap Ka Hoga Kis Roz Jaane
Dua E Faraj Hai Labon Par Humare
Asar Kab Duaon Main Laao Ge Mola
Ye Dil Misl E Hur Hai Pareshan Humara
Hussain Aap Ban Kar Batao Khudara
Galay Se Humein Kab Lagao Ge Mola
Hai Halat Bhi Ab Misl E Yaqoob Dekho
Humari Umeedon Ke Yusuf Tum He Ho
Taras Kab In Aankhon Pe Khaao Ge Mola
Baqiyya Main Kab Tak Andhera Rahe Ga
Dil E Fatima Ko Sukoon Kab Mile Ga
Diya Qabr Pe Kab Jalaao Ge Mola
Rahein Ge Yun He Kab Talak Ashk Jaari
Shab E Hijr Kab Khatam Hogi Humari
Chiragh E Sahar Kab Jalaao Ge Mola
Hilal Aur Mesum Bahate Hain Ansoo
Saje Hain Janazon Ke Bazaar Har Soo
Kya Ghaibat Se Ab Bhi Na Aaoge Mola
