Zahra Ki Andheri Turbat Pe Kab Shamma Jalanay Aaoge
Aye Muntaqim Kab Aaoge Aye Muntazir Kab Aaoge
Tooti Hui Qabron Ko Maula Kis Roz Banane Aaoge
Be Sheer Ki Nanhi Maiyyat Ko Turbat Se Nikala Tha Jis Ne
Kab Us Ke Lashe Ko Maula Naize Pe Uthane Aaoge
Hai Chaar Baras Ki Ek Zahra Zindan Mein Sadiyon Se Qaidi
Kab Bait Al Huzan Se Tum Us Ko Aazad Karane Aaoge
Dhaya Gaya Roza Dadi Ka Dekha Hai Ujarta Samarra
Jo Dagh Mile Hain Ghaibat Mein Kab Un Ko Dikhane Aaoge
Woh Sham Aur Kufa Ke Raste Woh Naqoon Se Girte Bache
Hai Kon Kahan Par Dafan Hua Kab Naam Batane Aaoge
Masooma E Qum Aur Maula Raza Hum Shakal E Payamber Aur Sughra
Ye Bhai Behan Hain Bichre Hue Kab Un Ko Milane Aaoge
Beton Ke Janazon Par Akbar Akbar Ke Liye Jo Roti Hain
Kab Ujari Hui Un Maaon Ko Insaf Dilane Aaoge
