Kafan Mujh Ko Pinha Do Zainab

Di Thi Amma Ne Jo Poshaak Wo Laa Do Zainab
Apne Hatho Se Kafan Mujh Ko Pinha Do Zainab

Aaj Maqtal Main Faqat Baat Tumhari Hogi
Abhi Amma Se Mulaqat Hamari Hogi
Koi Paigham Agar Hai Tou Suna Do Zainab

Hath Paband E Rasan Behna Tumhare Hoge
Mujh Ko Reh Reh Ke Khayal Aata Hai Lashe Se Mere
Teer Kis Tarhan Nikalo Gi Bata Do Zainab

Mere Laashe Ki Rahe Gi Tumhe Pehchan Behan
Chaak Kardo Mere Kurte Ka Girehbaan Behan
Koi Loote Na Isay Aisa Bana Do Zainab

Saamne Apne Sakina Se Utarwa Lo Gohar
Abhi Kuch Der Main Lut Jaye Ga Mazloom Ka Ghar
Ye Amanat Kisi Goshe Main Chupa Lo Zainab

Bahar Aane Ko Na Khaime Se Main Kehta Tum Ko
Hote Abbas Tou Takleef Na Deta Tum Ko
Ban Ke Abbas Mujhe Zeen Pe Bitha Do Zainab

Qaid Khane Ki Sambhalo Ye Amanat Bibi
Goud Main Lo Isay Mazloom Ho Rukhsat Bibi
Mera Daman Meri Bachi Se Chura Do Zainab

Jab Se Akbar Gaye Beenai Bhi Ankho Ki Gayi
Laa Ke De Do Ali Asghar Ki Nishani Koi
Kurta Besheer Ka Ankho Se Laga Do Zainab

Ghar Se Shabbir Janaze Ki Tarhan Se Nikle
Sabhi Rote Thy Takallum Dar E Khaima Pe Khare
Sheh Ne Jis Dam Kaha Marne Ki Riza Do Zainab

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *