Gam E Husain Kaisa Sharaf Yeh Paya Hai
Ke Apne Hathon Se Main Ne Alam Sajaya Hai
Suna Hai Aati Hai Majlis Mein Fatema Zehra
Yeh Baat Soch Ke Farsh E Aza Bicha Ya Hai
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ne Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Husain Ki Maa
Khabar Hai Bint E Rasool e Khuda Ke Aane Ki
Badal Rahi Hai Hawaien Gareeb Khane Ki
Mera Naseeb Ke Mehman Hui Meri Zehra
Farishte Shah o Gada Gar Subhi Hai Pesh e Nazar
Hai Ambiyan Ki Qatarain Lagi Mere Ghar Par
Tumhare Aane Sa Bibi Ye Martaba Paya
Ye Majlis e Shabbir Mein Behte Hue Aansun
Firdous Ke Bagon Mein Saja Deti Hai Zehra
Shehzadi Zameen Pe Ishe Girne Nahi Deti
Bach Jaaie Tu Kausar Mein Mila Deti Hai Zehra
Ye Nauha Khwani Yeh Soz o Salam Aur Matam
Humare Ashq Hai Bibi Ke Zakhm Ka Marham
Agar Na Hote Wasila Yeh Matam O Nauha
Gareeb Khane Ko Jannat Bana Diya Bibi
Khushi Yeh Aasi Hai Jisne Phula Diya Bibi
Har Ek Ash Ne Aankhon Se Girte Girte Kaha
Sar e Husain Jo Sheerin Ke Ghar Mein Aaya Tha
Sar e Husain Ke Humrah Aayi Thi Zehra
Jo Dekha Bibi Ko Sheerin Ne Yeh Kiya Nauha
Jub Kisi Ghar Mein Koi Mar Jaaieye
Dunia Gam Bantne Ko Aati Hai
Haye Kitni Gareeb Hai Zehra
Pursa Lene Bhi Chal Ke Aati Hai
Ghar Mein Mere Majlis Hui Aur Bich Gaya Farsh E Aza
Zakir Ne Jub Majlis Padhi Aur Hal Rukhsat Ka P Jo Adh
Itna Royi Zehra
Farhan Aur Mazhar Padha Nauha Shahe Mazloom Ka
Tha Zikr Jub Ashoor Ka Shabbir Par Khanjar Chala
Itna Royi Zehra
Dete Rahe Ahle Aza
Gazi Ka Pursa, Sarwar Ka Pursa
Akbar Ka Qasim Asghar Ka Pursa
Zainab Ka Kulsoom O Fizza Ka Pursa
Sajjad Bali Sakina Ka Pursa
Bali Ka Pursa Chadar Ka Pursa
Aun o Mohammad Ka Baqir Ka Pursa
Naizon Pe Rakkhe Har Sar Ka Pursa
Bibi Tumhare Bhar E Ghar Ka Pursa
