Kaho Ya Mehdi

Yeh Sari Kainat Hai Qayam Imam Se
Baqi Khuda Ka Naam Hai Mehdi Ke Naam Se
Kaho Ya Mehdi

Ik Pal Ko Sochiye Na Agar Hoon Sheh-e-Zamaan
Badil Rahein Na Abar Na Barsat Ka Nishaan
Piss Jaye Kainat Paharon Ke Darmiyaan
Dharti Ke Sar Pe Aan Girey Pal Mein Aasmaan
Inn Sare Hadsat-e-Zamana Ke Samne
Dewar Khainch Rakhi Hai Mere Imam Ne

Soraj Ko Sare Rastay Batata Hai Khud Imam
Mashriq Hai Yeh Yahan Se Nikalna Hai Tera Kam
Thak Jaye Gar Safar Mein Tu Phir Bhi Hai Ik Maqam
Magrib Hai Mere Qadmo Mein Karna Yehi Qiyam
Keh Dein Jahan Se Waan Se Nikalta Hai Aaftab
Mehdi Se Poch Poch Ke Chalta Hai Aaftab

Woh Hai Tu Kainat Hai Woh Hai Tu Zindagi
Woh Hai Tu Yeh Namaz Hai Woh Hai Tu Bandagi
Woh Hai Tu Aa Rahi Hai Sada Ya Hussain Ki
Woh Hai Tu Ho Raha Hai Jahan Mein Ali Ali
Ab Jo Khilaf-e-Zikar-e-Ali Lab Hilaye Ga
Dunya Se Be Hisab Jahanum Mein Jaye Ga

Aane Se Oss Ke Ho Gi Sitam Ki Kitab Band
Ho Ga Har Aik Mufti-e-Shar Ka Nisab Band
Ghaibat Ka Dar Khula Tu Khulein Gay Hisab Band
Maula Kahin Gay Ho Gaya Toba Ka Baab Band
Apne Paron Se Pehle Muhibbon Ko Aar Do
Jibreel Phir Zameen Ko Dozakh Mein Jhar Do

Raz e Muqateaat Ka Humraz Aaye Ga
Quraan Ali Ka Likha Howa Sath Laye Ga
Shan e Nazool Aayaton Ki Khud Bataye Ga
Maki Se Maki Madni Se Madni Milaye Ga
Far Far Saheefa Bolay Ga Oss Ki Janab Mein
Woh Jan Daal De Ga Khuda Ki Kitab Mein

Ho Ga Imam e Waqt Youn Masroof Karzar
Kandhey Pe Be Niyam Rakhi Ho Gi Zulfiqar
ALLAH Ho Ga Khud Wali Allah Par Nisar
Talwar Khud Kahey Gi Jarri Waar Waar Waar
Fehrist Dein Gay Dushman e Aal e Rasool Ki
Phir Dekh Kya Karey Gi Saheli Batool Ki

Tanzeem Rozgar Ka Lazim Jab Aaye Ga
Tabdiliyan Bashar Ki Woh Fitrat Mein Laye Ga
Dunya Ko Apna Haq e Tasaruf Dikhaye Ga
Insaan Phir Apni Soch Se Bhi Aagay Jaye Ga
Khairat Mein Imam Se Paye Ga Mojzaa
Mati Ka Aadmi Bhi Dikhaye Ga Mojzaa

Ho Gi Qaza Ke Hath Mein Jeene Ki Jab Umang
Aa Jaye Ga Har Aik Bashar Zindagi Se Tang
Ableesiyat Dikhaye Gi Dunya Ko Apna Rang
Naib Khuda Ka Aa Ke Laray Ga Khuda Ki Jang
Mit Jaye Ga Badi Ka Nishaan Kainat Se
Shaitan Mara Jaye Ga Mehdi Ke Hath Se

Youn Aas Hai Zahoor Ki Dil Ke Deyar Mein
Akber Jo Maut Aa Bhi Gayi Intezar Mein
Phir Bhi Tarap Rahe Gi Dil e Be Qarrar Mein
Hum Muntazir Rahein Gay Hamesha Mazar Mein
De Ga Sadaein Jab Bhi Humein Waqt Ka Hussain
Qabron Se Hum Pukarein Gay Labaik Ya Hussain

Leave a Comment

error: Content is protected !!