Kaise Abbas Mera Zeen Se Utra Hoga

Maa Ne Abbas Ki Zainab Se Ye Ro kar Pucha
Kaise Abbas Mera Zeen Se Utra Hoga

Aaqa Zaadi Mujhe Samjhao Musibat Uski
Aankh Ke Teer Se Abbas Ko Uljhan Thi Bari
Kaise Bin Bazoo Ke Wo Teer Nikala Hoga

Haath Tou Thy He Nahi Kis Ka Sahara Leta
Muh Laga Hoga Zameen Par Mere Shehzade Ka
Zakhm Chehre Pe Bhi Abbas Ke Aaya Hoga

Kitna Majboor Hai Aapas Main Wo Kehte Honge
Shaam Wale Mere Abbas Pe Hanste Honge
Paaon Ghazi Ka Rakabon Main Jo Uljha Hoga

Is Ke Laashe Pe Gaya Hoga Jo Ibn e Zehra
Dekh Kar Haath Kate Bhai Ke Hoga Tarpa Hoga
Ali Akbar Se Ye Rote Hue Pucha Hoga

Roka Hoga Bhala Rehwar Ko Us Ne Kaise
Bhar Gaya Hoga Lahoo Sheer Ki Aankhon Mein Mere
Gurz Jab Sar Pe Mere Laal Ne Khaya Hoga

Pusht e Naqa Pe Tere Hath Bandhe Thay Bibi
Tu Bhi Haathon Ka Sahara Tu Nahin Le Payi
Dard Tu Ne Mere Abbas Ka Samjha Hoga

Mir Sajjad Yeh Rote Hue Zainab Boli
Jab Gira Ghazi Tu Maujood Wahan Par Maan Thi
Meri Maa Ne Use Gode Main Sambhala Hoga

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *