Kaise Main Dafnaon Sakina

Karte The Sajjad Ye Noha
Kaise Main Dafnaon Sakina

Qaidi Agar Qaid Main Mar Jata Hai Koi
Laash Ko Rassi Se Chura Dete Hain Uski
Haye Zakhmo Main Paiwast Rasan Hai Tere Aise
Maine Teri Lash Se Rassi Nahi Kholi
Lasha Bikhar Jaye Kahin Na

Khoon Rulata Hai Ye Manzar Meri Behna
Jism Tera Khoon Main Hai Tar Meri Behna
Hatho Pe Laasha Hai Tera Soch Raha Hon
Ghusl Ko Pani Bhi Mayasar Nahi Behna
Tu He Bata De Meri Behna

Kaisi Museebat Ye Pari Door Watan Se
Baba Bhi Mehroom Hai Aur Tu Bhi Kafan Se
Chahoo Churana Tu Chura Bhi Nahi Sakta
Khoon Bhara Kurta Jo Chipka Hai Badan Se
Tera Kafan Hai Yehi Kurta

Yad Mujhe Aata Hai Ayy Ghamzada Khuwahar
Mujhse Yehi Poochhti Rehti Thi Tu Aksar
Dafan Main Hojaoon Agar Qaid e Sitam Main
Shimr Na Ajaye Kahin Meri Lehad Par
Ab Isi Zindan Main Dukhiya

Tu He Nahi Teri Tu Saansain Bhi Thi Qaidi
Dekhi Nahi Pehle Kahin Aisi Aseeri
Sona Jo Chaha Tu Tujhe Neend Na Ayi
Rona Jo Chaaha Tu Tamacho Ki Saza Thi
Hogi Teri Qabar Bhi Tanha

Mazhar O Farhan Yehi Baat Hai Noha
Haatho Pe Ek Qaidi Ke Ek Qaidi Ka Laasha
Kaise Bandha Hatho Se Main Qabar Banao
Sab Ko Rulata Tha Ye Sajjad Ka Jumla
Haye Wo Sajjad Ka Kehna

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *