Karam Ki Inteha Hai Fatima

Jo Puchiye Ke Kya Hai Fatima
Karam Ki Inteha Hai Fatima

Hijab E Kibriyai Hai Kisi Ki Kab Rasai Hai
Ke Parda E Khuda Hai Fatima

Wo Shamil E Durood Hai Wo Dakhil E Durood Hai
Wo Manzil E Durood Hai Wo Qabil E Durood Hai
Wo Hasil E Durood Hai Wo Hamil E Durood Hai
Ke Markaz E Kisa Hai Fatima

Ayaan Hai Wo Nehaa Hai Wo Zamaa Hai Wo Makaan Hai Wo
Sadaa E Kunfakan Hai Wo Jahan Khuda Wahan Hai Wo
Zameen Hai Admi Ki Maa Zameen Ki Bhi Maa Hai Wo
Ke Fatir Us Sama Hai Fatima

Jo Panjetan Simat Gaye Tou Aik Zaat Ban Gayi
Wo Aik Zaat Phail Kar Ye Kainaat Ban Gayi
Ye Kainaat Saj Gayi Har Ek Baat Ban Gayi
Pata Chala Ke Kya Hai Fatima

Wo Qaul Hai Muqala Hai Wo Maadin E Risala Hai
Ali Ki Hum Niwala Hai Ali Ki Hum Piyala Hai
Hussain Ka Hawala Hai Hasan Ko Jis Ne Paala Hai
Wo Paak Sayyeda Hai Fatima

Risalatein Wilayatein Imamatein Hidayatein
Sharafatein Najabatein Taharatein Shahadatein
Karamatein Sadaqatein Ibadatein Riyazatein
Inhi Ka Tou Sira Hai Fatima

Wo Jalwa E Ghayaab Hai Wo Noor Ki Kitaab Hai
Khuda Ka Wo Hijaab Hai Khuda Ka Wo Naqaab Hai
Ke Juzz Nabi O Juzz Ali Kahan Kisi Ko Taab Hai
Khuda Ka Aaina Hai Fatima

Usi Ke Hai Ye Behr O Bar Usi Ke Hai Ye Khushk O Tarr
Usi Ke Hai Shajar Hajar Usi Ke Hai Gul O Samar
Karun Kuch Aur Mukhtasar Khuda Tou Wo Nahi Magar
Khuda Se Kab Juda Hai Fatima

Meri Sada Sun Aye Khuda Dilo Mein Sab Ke Noor Rakh
Ke Sarwar O Naved Ko Munafiqat Se Dur Rakh
Kasfaton Se Dur Rakh Ke Hazir O Huzoor Rakh
Hamara Wasta Hai Fatima

Leave a Comment

error: Content is protected !!