Karbala Jane Ki Khuwahish Hai
Magar Hoon Main Gareeb
Jane Kis Din Mujhe Hoga Tera Dedar Naseeb
Teri Dehleez Pe Mar Jaon Main Rote Rote
Aur Dafna Diya Jaon Tere Roze Qareeb
Ya Hussain Hussain Hussain
Ishq E Sarwar Main Tarpta Hai Mera Dil Aise
Qaid Zindan Main Ho Koi Parinda Jaise
Mola Kuch Zad E Safar Pass Nhi Hai Mere
Main Nhi Janta Jaon Ga Main Kab Aur Kaise
Apna Darbar Faqeeron Ko Dikha Do Mola
Behte Ashkon Pe Zara Reham Tou Khao Mola
Karbala Jane Se Phle Na Qaza Ajaye
Mout Se Phele Bas Ek Bar Bula Lo Mola
Qafile Jitne Sue Karbobala Jate Hain
Lakhon Zawar Tere Dar Pe Chale Atay Hain
Kya Khata Hogayi Hum Se Aye Humare Mola
Aik Hum Hain Jo Tarpte Yahin Reh Jate Hain
Shams Hota Na Qamar Hota Na Asar Hota
Kash Main Apki Dahleez Ka Pathar Hota
Karbala Jata Kabhi Urh Ke Najaf Jata Hasan
Kash Insan Na Hota Main Kabootar Hota
