Karbala Jane Ki Khuwahish Hai
Magar Hoon Main Gareeb
Jane Kis Din Mujhe Hoga Tera Dedar Naseeb
Teri Dehleez Pe Mar Jao Main Rote Rote
Aur Dafna Diya Jaon Tere Roze Qareeb
Ya Hussain Hussain Hussain
Aye Azadaro Mere Ghamkawaron Mere Zawaron
Ashiqon Aye Ashiqon Aao Janib E Hussain
Apne Zawar Ko Rehne Nhi Deta Main Gareeb
Chand Lamho Main Badal Deta Hoon Un Sab Ke Naseeb
Ishq Paida Tou Karo Misl E Mujaban Habib
Dafn Ho Sakte Ho Tum Bhi Mere Roze Qareeb
Boond Mango Ge Jo Mujhse Main Samandar Dunga
Chasm E Rehmat Se Main Daaman E Talab Bhar Dunga
Qarz Lekr Meri Chokhat Pe Faqat Aa Jao
Mera Wada Hai Main Sab Qarz Ada Kar Dunga
Tum Se Pehle Jo Azadar Yahan Atay Thy
Haath Katwa Ke Bhi Dar Choomne Aa Jate Thy
Tum Tou Asaani Se Aa Jate Ho Mere Dar Tak
Pichle Zawar Tou Raste Main He Mar Jaate Thy
Paise Joro Tou Sahi Tum Yahan Aane Ke Liye
Main Khud Asbaab Bana Lunga Bulane Ke Liye
Mujh Se Milne Ke Liye Tum He Nhi Ho Betab
Main Bhi Be Chain Hoon Seenay Se Lagane Ke Liye
Mujh Ko Maloom Hai Zawaron Bohot Dur Ho Tum
Dard Ke Mare Ho Aur Gham Se Bhot Chur Ho Tum
Tum Ko Halat Ki Zanjeeron Ne Jakra Hua Hai
Meri Sughra Ki Tarhan Bekas O Majboor Ho Tum
Jazba E Ishq Kabhi Kam Nhi Hone Dunga
Lou Dua Ki Kabhi Maddham Nhi Hone Dunga
Maine Seene Pe Uthaen Hai Bohot Gham Lekin
Main Muhibon Ko Koi Gham Nhi Hone Dunga
Main Kisi Aankh Se Aansu Nhi Behne Dunga
Koi Takleef Kisi Ko Nhi Sehne Dunga
Main Tou Sehroz Ka Hoon Bhooka Piyasa Lekin
Apne Zawaro Ko Bhuka Nhi Rehne Dunga
Raho Tayyar Sada Karbala Aane Ke Liye
Nohay Parhte Raho Tum Mere Gharane Ke Liye
Karbala Se Chala Sajjad Mera Sham Talak
Kash Tum Hote Hasan Paon Dabane Ke Liye
