Kazim Ka Hai Janaza Baghdad Ke Pul Par
Rone Ko Ayeen Zahra Baghdad Ke Pul Par
Pacheeswi Rajab Ko Taboot Hai Ye Kaisa
Dooba Huwa Lahu Me Zanjeer Me Hai Jakra
Hai Teen Din Se Rakha Baghdad Ke Pull Par
Haroon Ne Na Jaane Kaisa Zehar Diya Hai
Tan Paash Paash Haye Kazim Ka Ho Gaya Hai
Gathri Main Aaye Maula Baghdad Ke Pull Par
Beta Imam Ka Hai Baba Imam Ka Hai
Sheh Ki Tarha Se Is Pe Ghurbat Ki Inteha Hai
Begoro Be Kafan Tha Baghdad Ke Pul Par
Jis Be Watan Ki Mayat Mazdoor Ne Uthayi
Mayat Pe Jis Padar Ki Beti Bhi Ro Na Payi
Roti Hai Us Ko Dunya Baghdad Ke Pul Par
Utre Badan Ke Tukre Zanjeer Main Lipat Kar
Masooma Dekhti Tu Mar Jaati Wo Waheen Par
Kiss Haal Main Hai Baba Baghdad Ke Pul Par
Sarwar Ki Laadli Pe Chauda Baras Jo Roya
Abid Ko Sath Le Ke Karne Ko Us Pe Girya
Aati Hai Khud Sakina Baghdad Ke Pul Par
Uthta He Jab Janaaza Haye Saathwe Ali Ka
Karne Ko Uss Pe Girya Aateen Hai Bibi Zahra
Logo Adab Se Aana Baghdad Ke Pull Par
Jab Kazmain Jao Kazim Ka Gham Manane
Ayy Arsalan O Mesum Wajib Huwa Hai Tum Pe
Taboot Tum Uthana Baghdad Ke Pull Par
