Mazduron Ke Kandhon Par Kazim Ka Janaza Hai
Baghdaad Ke Qaidi Par Zindaan Bhi Rota Hai
Is Dard Ne Turbat Main Sajjad Ko Tarpaya
Zindan Se Nikal Kar Bhi Azaad Na Ho Paya
Hai Pehla Janaza Jo Zanjeeron Mein Jakra Hai
Haye Zanjeeron Ko Takti Hai Shano Ko Hilati Hai
Mayyat Ko Kabhi Apni Goadi Main Uthati Hai
Ek Hath Hai Pehlu Par Lagta Hai Ye Zahra Hai
Zare Bhi Lahoo Rokar Rudaad Sunate Hai
Qadmon Ke Nishan Iske Zindaan Mein Batate Hai
Ye Naza Ke Aalam Main Kis Tarha Se Tarpa Hai
Jo Log Guzarte Hai Aapas Main Ye Kehte Hai
Gharwale Tu Yasrab Main Is Qaidi Ke Rehte Hai
Phir Iske Janaze Par Ye Kaun Zaeefa Hai
Kehti Hai Koi Bibi Hai Waqt Musibat Ka
Ab Jald Madine Se Aaja Ayy Raza Aaja
Begoro Kafan Kabse Beta Tera Baba Hai
Haye Har Roz He Jati Hai Wo Turbat E Zahra Par
Jakar Wahan Kehti Hai Masooma E Qum Rokar
Dadi Mere Baba Ko Kya Aap Ne Dekha Hai
Shabbir Ki Ghurbat Ka Nauha Ye Sunate Hai
Sukhe Hue Lab Uske Ummat Ko Batate Hai
Isne Bhi Dam e Akhir Paani Nahi Paaya Hai
Ghurbat Hai Takallum Ye Shabbir Ki Ghurbat Si
Ek Beti Hai Yasrab Mein Sughra Ki Tarha Iski
Is Waste Mayyat Ka Rukh Sue Madina Hai
