Khuda Nighedaar Ya Ali a.s

Wa Waila Wa Waila
Syeda Wa Waila Mazlooma Syeda Mehrooma

Tha Chehra Zakhmi Shikasta Pehlu Ajab Qayamat Ki Wo Ghari Thi
Nabi Ki Beti Dam E Wasiyat Ali Se Jab Ro Ke Keh Rahi Thi
Khuda Nigehdaar Ya Ali Khuda Nigehbaan Ya Ali
Aye Mere Maula Chor Ke Tanha Jati Hai Ab Dukhtar E Nabi

Gham Tumhara Syeda Ke Saath Jaaye Ga
Qabr Mein Tumhara Gham Mujhe Rulaye Ga
Pursa Dene Bhi Tumhe Koi Na Aayega
Shehr E Madina Ghut Ke Hai Jeena Haye Ali Bekasi Teri

Aik Wo Din Tha Mai Dulhan Ban Ke Aayi Thi
Aap Ke Ghar Ne Meri Izzat Barhayi Thi
Mil Ke Mere Saath Ye Basti Basayi Thi
Shaam Se Pehle Aapke Ghar Se Fatima Khuda Ke Ghar Chali

Dushman E Abu Turab Hai Yahan Tamam
Tum Pe Aach Aayegi Phir Bhi Na Aye Imam
Fatima Ne Kar Diya Hai Aisa Intezaam
Chaand Se Bete Sadqe Tumhare Ab Yehi Hai Jholi Mein Meri

Baba Aaye The Abhi Dobara Aayenge
Keh Rahe The Kalmago Na Ab Sataenge
Fatima Tumhe Hum Aaj Leke Jayenge
Wada Kiya Tha Baba Ne Jis Ka Aagayi Hai Ab Wohi Ghari

Pyaas Se Hai Dekhte Mujhe Wo Baar Baar
Kar Liya Hussain Aur Hasan Ko Maine Pyaar
Maut Kar Rahi Hai Fatima Ka Intezaar
Maa Ko Tarapte Dekhe Na Bachhe Saansein Chal Rahi Hain Aakhri

Ummat E Nabi Ne Mera Haal Ye Kiya
Jalta Dar Batool Par Gira Diya Gaya
Taziyana Bhi Laga Hai Haath Bhi Utha
Pehlu Shikasta Bazu Shikasta Fatima Tou Zakhm Ban Gayi Khuda

Zakhm Dekh Kar Mere Abhi Se Hai Nidhaal
Maa Ke Gham Mein Hogaya Hai Unka Ghair Haal
Baad Mere Betiyon Ka Rakhna Tum Khayal
Zainab O Kulsoom Hai Abhi Masoom Raah E Shaam Dur Hai Abhi

Fatima Pe Hogayi Sitam Ki Inteha
Aap Se Chupayi Hai Maine Har Jafa
Ghurbaton Ka Hai Meri Gawaah Mujtaba
Kaise Bataun Kaise Sunaun Fatima Kahan Kahan Giri

Haye Dukhtar E Nabi Ko Qabr Mein Utaar Kar
Roye Murtuza Ali Takallum Is Qadar
Hogayi Tamaam Qabr Aansuon Se Tar
Uth Ke Qabr Se Jab Ali Chale Thi Yehi Sada Batool Ki

Leave a Comment

error: Content is protected !!