Khuda Ke Ghar Jo Agaye
Tou Bola Kaaba Dekh Ke
Main Kar Raha Tha Kab Se Intazar Apka
Khush Amdeed Ya Ali
Tera Rajab Hai Jashan Manao
Mola Ali Ke Deewano
Kon Hai Momin Kon Munafiq
Nara Laga Kar Pehchano
Lagao Nara Haideri
Halaliyon Ki Hai Khushi
Jala Do Munqiro Ko Likh Ke Tum Jaga Jaga
Kaabe Main Jab Aaye Muhammad
Dekha Ali Ke Ghar Main Ali
SubhanAllah MashaAllah
Kehte Hue Pass Aaye Nabi
Yun Aaye Un Ke Hath Per
Ho Hamd Jaise Naat Per
Ali Ne Ankhein Kholi Tou Nabi Ne Ye Kaha
Khyber Main Jab Na Koi Bhi Marhab Se Lar Saka
Jibreel Ne Phir Aake Muhammad Se Ye Kaha
Allah Keh Raha Hai Usay Dijiye Sada
Is Din Ke Wastay Jise Haider Kaha Gaya
Phir Yun Hua Ke Nad E Ali Lab Pe Agayi
Soo E Madina Dekh Ke Kehne Lage Nabi
Aaja Ali Aaja Ali
Marhab Ko Pachar Ali
Khyber Ko Ukhar Ali
Maine Kab Se Nhi Suni Teri Shair Se Dhaar Ali
Koi Mard Nhi Marhab Se Kon Lare Ga
Mushkil Main Deen Hai Mera
Ab Ye Alam Sirf Hai Tera
Sara Lashkar Dekh Raha Tha
Soo E Madina Khyber Se
Lekin Ek Salman Tha Un Main
Waqif Tha Jo Haider Se
Wo Keh Raha Tha Shan Se
Wo Aaye Asman Se
Falak Se Ap Aayenge Mujhe Yaqeen Tha
Istaqbal Ki Saf Main Khare Thy
Arsh O Zameen Wale Mil Kar
Pohunchi Jab Barat Ali Ki
Zehra Ke Darwaze Par
Jabeen Pe Sehra Bandh Ke
Nabi Se Aake Jab Mile
Gale Laga Ke Muskura Ke Bole Mustafa
Ali Wali Ki Mohabbat Khuda Ki Rehmat Hai
Mohib E Mola Pe Rehmat Zaror Barse Gi
Wo Jis Ke Dil Main Adawat Hai Mere Mola Ki
Bas Aise Shaks Pe Lannat Zarror Barse Gi
Khushiyan Ali Walon Ko Mubarak
Unko Mubarak Lanat Ho
Haider Ki Tou Baat Alag Hai
Jalne Walon Se Keh Do
Buland He Buland Hai
Mujhe Bhot Pasand Hai
Ali Ka Dil Pe Raj Hai Tou Kyun Na Doon Sada
Ishq E Ali Ki Mohar Lagi Hai
Dil Pe Aye Zeeshan O Raza
Qabr Main Hum Ko Kesi Wehshat
Kaisa Dar Aur Kesi Saza
Main Janta Hoon Aayenge
Naqab Jab Hataye Ge
Ali Ko Dekhte He Bol Uthe Ga Dil Mera

