Kis Tarha Baap Se Beti Ko

Baap Ke Sine Pe Sar Rakhkar Sakina So Gae
Aur Durra Leke Aa Pohcha Wahan Shimre Laeen
Baap Ki Lash Pe Beti Ko Joh Paaya Hoga
Allah Jane Allah Jane
Kis Tarha Baap Se Beti Ko Churaya Hoga

Kitni Raat Se Wo Jaagi Hue Masooma Thi
Baap Ki Lash Se Lipti Tu Usse Neend Aayi
Markar Durra Joh Zaalim Ne Jagaaya Hoga

Marta Tha Kabhi Durre Kabhi Pathar Wo Shakhi
Phir Bhi Lipti Rahi Lasshe Se Judaa Hoti Na Thi
Noch Kar Baal Jo Zaalim Ne Uthaya Hoga

Bekasi Kaisi Thi Gham Kaisa Jafaa Kaisi Thi
Har Tamache Pe Wo Ghazi Ko Sadaa Deti Thi
Khoon Abbas Ne Ankho Se Bahaya Hoga

Dhundne Bachi Ko Maqtal Main Jo Zainab Pohchi
Khoo Main Tar Baap Ke Laashe Pe Khari Thi Beti
Noha Zainab Ke Labon Par Yahi Aaya Hoga

Betiyon Walo Zara Socho Wo Manzar Haye
Baap Ki Laash Pe Beti Ne Tamache Khaye
Khoon Rukhsaaro Se Us Dam Nikal Aaya Hoga

Ek Shab Aaya Jo Zindaan Main Sar e Shah e Anam
Muh Pe Muh Rakha Sakina Ne Hue Saase Tamam
Waqt Jab Ghuslo Kafan Dene Ka Aaya Hoga

Rookh Le Zille Raza Apna Kalam Ab Nahi Taab,
Gham Se Behaal Hue Hogi Bohot Umme Rubab
Nauha Farhaan Ne Jis Dam Ye Sunaaya Hoga

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *