Madine Se Jo Qaasid Karbala Paighaam Laya Hai
Hussain Ibn e Ali Ko Dekh Kar Un Se Yeh Kehta Hai
Kisi Beemar Ka Khat Hai Ke Jis Ka Naam Sughra Hai
Mujhe Shabbir Se Milwa Do Ye Khat Us Ko Dena Hai
Suna Yeh Tha Sabhi Ko Hai Amaan Shabbir Ke Sadqe
Woh Khud Hota Yahan Tu Tum Pe Yun Hamle Nahi Hote
Mujhe Jis Ka Bataya Tha Wo Tum Ho Hi Nahin Sakte
Tumhare Hath Mein Karil Jawaan Beta Ka Laasha Hai
Mujhe Maaloom Hai Qasim Ke Sar Sehra Bandha Hoga
Tumhare Saath Tu Dulha Nazar Koi Nahin Aata
Magar Aate Hue Maine Inhi Aankhon Se Yeh Dekha
Abhi Tum Ne Kisi Lashe Ko Gathri Mein Uthaya Hai
Ye Bibi Ne Bataya Tha Yahan Abbas Bhi Hoga
Wohi Jis Ke Qadd o Qaamat Ka Sadqa Hai Falak Saara
Usi Qaamat Ka Ek Lasha Abhi Maqtal Mein Hai Dekha
Wo Jis Ki Aankh Se Tum Ne Abhi Ek Teer Khincha Hai
Suna Tha Hoga Un Ki Goad Mein Hansa Hua Asghar
Tumhari Goad Tu Khali Hai Aur Hai Zakhm Bazu Par
Magar Khaimon Ke Peeche Maine Dekha Tum Ne Ro Ro Kar
Abhi Cheh Maah Ka Nanha Sa Ek Lasha Chupaya Hai
Mujha Ek Baar Milna Tha Yahan Aun o Mohammad Se
Magar Ab Dil Mera Ghabraata Hai Aye Ajnabi Banday
Ke Do Mazloom Shehzadon Ko Dekha Hai Wahan Maine
Jinhein Ek Dusre Ke Samne Maqtal Main Mara Hai
Tasalli Do Mujhe Sarwar Ka Akbar Tu Salaamat Hai
Zara Ye Bhi Batao Hath Mein Ye Kis Ki Mayyat Hai
Batao Kaun Hai Ye Aur Kitna Khoobsurat Hai
Ke Is Lashe Ka Chehra Bhi Naqaabon Mein Chhupaya Hai
Chalo Maana Tumhi Sarwar Ho, Par Ek Baat Kehni Hai
Ke Sarwar Ke Tu Seene Par Sakeena Roz Soti Hai
Tumhara Sar Se Paon Tak Badan Teeron Se Chalni Hai
Batao Phir Kahan Aakhir Sakina Ko Sulana Hai
Wo Kaisa Waqt Tha Haidar Ke Jab Qaasid Ne Ye Bola
Ke Aye Mazloom Wo Shabbir Lega Tera Har Badla
Tumhari Auraton Ki Bhi Wo Hurmat Ko Bacha Lega
Karam Tum Par Karega Wo Ke Wo Zahra Ka Beta Hai
