Kitni Mazloom Hai Zahra a.s

Ya Zehra Ya Zehra Ya Zahra
Phelu Shikasta Tooti Pasliyan

Haye Ummat Ne Kyun Darbar Bulaya
Kitni Mazloom Hai Zehra

Bad E Rasool E Pak Jo Zulm O Sitam Hue
Ta Marg Un Ki Ankh Se Ansu Nahi Ruke
Ankhon Ke Gird Par Gaye Halke Batool Ke
Ye Zulm Ghair Ne Nahi Apno Ne Dhaye Thy
Saadiyan Guzar Di Gayien Jari Hai Wo Jafa
Ahl E Aza Tou Aaj Bhi Kare Hain Ye Buka

Rudad E Gham Sunau Zara Kalma Go Suno
Tareekh De Rahi Hai Gawahi Ye Apko
Aaye Thy Log Aag Lai Kai Dar E Syeda Pe Jo
Esai Bhi Nahi Thy Yahoodi Nahi Thy Wo
Bibi Pe Jab Giraya Dehakta Hua Wo Dar
Islam Keh Raha Tha Yehi Cheekh Cheekh Kar

Khamosh Bu Turab Thy Mansha E Kibriya
Darbar Main Laaen Ke Pohunchi Jo Syeda
Hasnain Ke Siwa Koi Hamdard He Na Tha
Sab Jannisar Hogaye Qatil Ke Hamnawa
Jo Chor Kar Gye Thy Janaza Rasool Ka
Karte Bhala Rasool Ki Beti Se Kya Wafa

Atharwein Baras Mein Uthaye Hain Ye Mahan
Din Raat Syeda Ke Kaleje Main Thi Dukhan
Dekhi Gulu E Haider E Karar Main Rasan
Roye Husnain Zainab O Kulsoom Aur Hassan
Jab Thy Ali Hisar Main Us Din Ko Royi Hain
Tanhaiyon Main Beth Ke Mohsin Ko Royi Hain

Karwat Se Dayein Janib Kabhi So Nahi Saki
Khoon Ruk Nahi Raha Tha Jo Zakhmi Hui Jabeen
Tooti Jo Pasliyan Sukoon Tha Kahin Nahi
Ab Jee Nahi Sakongi Ye Zehra Ko Tha Yaqeen
Is Darja Zakhm Khaye Hain Kunfaz Ki Zaat Se
Tasbeeh Parh Na Payi Kabhi Seedhe Hath Se

Ghusl O Kafan Ka Waqt Jo Aya Tha Bakhuda
Mola Ke Ghar Qayamat E Sughra Hui Bapa
Girya Ali Ka Sun Ke Ye Zainab Ne Ki Buka
Jaan Se Guzar Na Jayein Kahin Shair E Kibriya
Yaran Raha Na Zabt Ka Rone Lage Ali
Phelu Ka Zakhm Dekh Ke Kehne Lage Ali

Kuch Tou Batao Logon Rulaya Gaya Hai Kyun
Makhduma E Jahan Ko Sataya Gaya Hai Kyun
Ye Zulm Bad E Marg Bhi Dhaya Gaya Hai Kyun
Mayyat Ko Fatima Ki Chupaya Gaya Hai Kyun
Chalis Qabr E Zehra Banayi Thi Is Liye
Zehra Ki Qabr Koi Musalman Na Dekh Le

Masmar Qabr E Fatima Zehra Ko Kar Diya
Jari Hai Phir Bhi Zulm Ka Ummat Main Silsila
Le Lo Jo Naam E Qatil Zehra Tou Hai Saza
Sadiyon Ke Bad Bhi Hai Wohi Zulm Aur Jafa
Socha Kabhi Nahi Tha Ke Din Bhi Ayega
Parhna Hai Jurm Marqad E Zehra Pe Fateha

Mesum Ke Askh Tera Qalam Mazhar Abidi
Kar He Nahi Sakaein Ge Bayan Wo Sitam Kabhi
Jo Zulm Seh Gayi Hai Wo Beti Rasool Ki
Ta Umar Meri Bibi Azadar He Rahi
Ro Kar Hayat Kati Ghamon Ki Aseer Ne
Likha Hai Marsiye Main Anees O Dabeer Ne

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *