Kiya Karay Abbas

Rasan Main Haath Bandhain Hai Bahen Hai Be Parda
Sina Se Sar Na Girae Tu Kya Kare Abbas

Padar Ki Laash Se Usko Churaya Jata Hai
Sitam Hai Nake Pe Tanha Bithaya Jata Hai
Rasan Main Baali Sakina  Ka Bandh Raha Hai Gala

Wo Kis Tarha Se Tasalli De Aake Madar Ko
Kiya Hai Dasht Main Do Baar Zibha Asghar Ko
Lehed Se Aagaya Naize Pe Jism Asghar  Ka

Chupa Ke Balon Se Muh Sharm Saar Hoti Hai
Wo Pusht Naaqa Pe Ab Khud Sarwar Hoti Hai
Ye Kesa Waqt Hai Zahra Ki Betiyo Pe Pada

Dhyaan Lashae Shabbir Se Hatana Tha
Dobara Syade Sajjad Ko Bachana Tha
Giri Hai Naaqe Se Maqtal Main Saniye Zahra

Kahi Pe Qasim o Akbar Kahi Pe Aun  Ka Sar
Kahi Hai Laal Roqaiya  Ke Aur Kahi Asghar
Wo Bache Naizo Pe Hai Goad Main Jinhain Paala

Hai Neel Chehre Pe Itne Tamache Mare Hai
Laee  Ne Khaich Ke Kano Se Durr Utare Hai
Ke Dono Kaano Se Masoom Ke Lahoo Behta

Sar Uska Kese Sina Par Koi Utha Ke Chale
Jo Sheh Ke Saamne Nazre Sada Jhuka Ke Chale
Takaza Mir Takallum Hai Uski Ghairat Ka

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *