Kufe Ka Aur Sham

As Shaam As Shaam As Shaam
Yaad Jab Aajata Hai Baba
Dil Mera Phat Jaata Hai Baba
Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Qabr Pe Shabbir Ki Karte The Abid Buka
Hogaye Kya Kya Jafa Suniye Shahe Karbala
Sar Pe Kisi Ke Na Thi Chadarr
Yaad Jab Aajata Hai Baba

Ek Rasan Mein Bandhe Chote Badon Ke Gale
Bar Sare Darbaar Sab Is Tarha Laaye Gaye
Otho’n Se Barsate The Patthar
Yaad Jab Aajata Hai Baba

Tauq Se Hargiz Na Tha Baba Mera Sar Jhuka
Hath Kadi Aur Bedi Ka Koi Mujhe Ghum Na Tha
Dekha Nahi Jaata Tha Manzar
Yaad Jab Aajata Hai Baba

Baali Sakina Ka Ghum Dil Ye Nahi Bhulta
Sab Ke The Shaane Bandhe Uska Bandha Tha Gala
Dard Se Woh Rehti Thi Muztarr
Yaad Jab Aajata Hai Baba

Jab Kiya Sajjad Se Aaake Kisi Ne Sawaal
Guzra Kaha Par Imaam Aapko Zyada Malaal
Kehte The As Shaam Muqarrar
Yaad Jab Aajata Hai Baba

Maqtal O Tareekh Bhi Karna Sake Haq Adaa
Likhe Anees E Hazeen Girya E Abid Ko Kya
Kehte The Ye Abid E Muztar
Yaad Jab Aajata Hai Baba As-Shaam As Shaam As Shaam

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *