Kya Baap Se Is Tarah Juda Hotay Hain Akbar

Seene Se Sanan Kheenchte Kehne Lage Sarwar
Kya Baap Se Is Tarah Juda Hotay Hain Akbar

Kya Tum Se Kahoon Kis Tarah Pohancha Hoon Sarhaane
Main Ghutnon Chal Kar Tumhein Aaya Hoon Uthaane
Aankhein Na Karo Band Mere Jaan Chalo Ghar

Takleef Hai Seene Mein Yeh Ehsas Hai Hum Ko
Mehsoos Karo Tum Bhi Tu Is Baap Ke Gham Ko
Mar Jaoonga Yun Eeriyan Ragdo Na Zameen Par

Is Haal Mein Gar Saamne Beta Tera Hota
Zakhmon Ki Taraf Dekh Ke Kya Tu Nahi Rota
Do Hosla Seene Se Laga Loon Mujhe Uth Kar

Chehre Pe Naqaab Is Liye Rehta Tha Tumhare
Allah Nazar Na Lage Akbar Ko Hamare
Phir Kis Ki Nazar Kha Gayi Humshakal e Payambar

Kyun Baap Ki Aaghosh Mein Dam Tor Rahe Ho
Ghurabat Mein Akela Humein Tum Chor Rahe Ho
Kyun Hichkiyaan Lete Ho Mere Samne Dilbar

Zaalim Ne Sanan Maar Ke Jab Zeen Se Giraya
Haathon Se Jigar Thaam Ke Tu Khaak Pe Aaya
Chehre Pe Tere Khoon Hai Zakhmi Hai Tera Sar

Kuch Dair Mein Le Aayega Qaasid Khat e Sughra
Hum Se Na Padha Jaayega Tum Bhi Na Tarapna
Jis Waqt Pukaroon Ga Main Khat Seene Pe Rakh Kar

Akbar Ne Jab Aaghosh Mein Li Aakhri Hichki
Zeeshan O Raza Khaime Se Zainab Ne Sada Di
Mar Jaayenge Shabbir Teri Laash Uthaakar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *