Shaam e Ghareeban Shaam Ghareeban
Jal Gaye Khaime So Gaya Lashkar
Lut Gaya Sara Ghar Zainab Ka Ab Hai Tanha
Na Sarwar Hai Na Akbar Hai Na Ghazi Hai
Laeen Naize Se Chadar Cheenta Hai Kya Kare Zainab
Thi Jis Bhai Se Dharas Mar Gaya Hai Kya Kare Zainab
Manata Hai Khushi Zalim Dikhata Hai Mujhe Khanjar
Bula Abbas Ko Apne Ye Kehta Hai Woh Hans Hans Kar
Lahoo Chadar Se Meri Poonchhta Hai Kya Kare Zainab
Teri Har Zarb Ka Ghazi Behan Se Le Ga Wo Badla
Laeen Khaime Main Aaya Hai Utha Kar Haath Mein Durra
Tum He Bint e Ali Ho Puchta Hai Kya Kare Zainab
Bari Ghurbat Ka Aalam Hai Bandhe Hain Haath Gardan Se
Bujhaye Aag Wo Kaise Sakina Tere Daman Se
Aur Ab Zalim Tamacha Marta Hai Kya Kare Zainab
Kaha Zainab Ne Abid Se Imam e Waqt Batlain
Yahin Khaimon Main Jal Jayein Ya Hum Bahar Nikal Jayein
Utho Sajjad Mushkil Marhala Hai Kya Kare Zainab
Kaha Ye Saad Ke Bete Ne Aakar Ibn e Nofal Se
Safar Mein Chahe Sab Soyein Magar Zainab Nahi Soye
Abhi Se Waram Rukh Par Aa Gaya Hai Kya Kare Zainab
Use Ek Maa Ki Tarah Apne Seene Se Laga Leti
Rasan Hathon Mein Na Hoti Tu Girne Se Bacha Leti
Sar e Ghazi Sina Se Gir Raha Hai Kya Kare Zainab
Koi Apna Nahi Tanha Khari Hai Dasht Mein Dekho
Kafan Kaise De Athara Bani Hashim Ke Lashon Ko
Madina Tu Nahi Ye Karbala Hai Kya Kare Zainab
Kahan Ho Laal Aa Jao Tumhain Maa Yaad Karti Hai
Utha Kar Raakh Hathon Mein Rubab Ek Simt Baithi Hai
Ali Asghar Ka Jhoola Jal Chuka Hai Kya Kare Zainab
Hai Pehli Shab Yateemi Ki Use Neend Aayegi Kaise
Ayy Zeeshan O Raza Baali Sakina Soti Thi Jis Pe
Woh Seena Ran Mein Teeron Se Bhara Hai Kya Kare Zainab
