Kyun Chor Jati Hai Maa

Gir Chuka Dar Fatima Par
Ab Hai Zakhmi Muhammad Ki Beti
Haye Ik Din Sar Jhukaye
Apne Hujre Mein Bethi Hue Thi

Phir Hussain Aa Ke Amma Se Kehne Lagay
Aankh Mein Kyun Hain Aansu Batao Mujhe
Fatima Ne Kaha Mere Noor e Nazar
Aaj Amma Ki Yaad Aa Rahi Hai Mujhe

Sun Ke Maa Ki Sada Dil Tarapney Laga
Ro Ke Shabeer Ne Fatima Se Kaha
Kyun Chor Jati Hai Maa

Ungli Pakar Ke Chalaya Seene Se Tum Ne Lagaya
Inn Teen Salun Mein Amma Tum Ne Bohat Kuch Sikhaya
Maa Se Bichar Ke Jeetay Hain Kaisay Kya Yeh Sikhati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Darwaza Jab Se Gira Hai Pehlu Shikasta Huwa Hai
Tooti Hue Pasliyaan Hain Shabeer Sab Janta Hai
Takleef Mein Hoon Bachoon Ko Apne Kab Yeh Batati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Iss Fikar Mein Jaag Jana Pyasa Na Ho Mera Beta
Ahsas Hai Mujh Ko Amma Kya Pyar Hota Hai Maa Ka
Raton Ko Uth Kar Bete Ko Apne Pani Pilati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Qissa Mujhe Aik Maa Ka Bhaiya Hasan Ne Sunaya
Beta Wahin Samne Tha Jab Maa Ne Khaya Tamacha
Ab Apne Ghar Mein Beton Se Apna Chehra Chupati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Jab Se Laga Taziyana Mushkil Tha Mujh Ko Sulana
Jab Hath Dekha Tumhara Tab Ja Ke Main Ne Yeh Jana
Hoon Hath Zakhmi Phir Bhi Thapak Kar Lori Sunati Hai Maa

Kyun Chor Jati Hai Maa

Shabeer Ne Phir Sada Di Kya Chor Jao Gi Tum Bhi
Kyun Aisa Kehti Ho Amma Rehti Nahi Maa Kissi Ki
Acha Batao Kya Door Ja Ke Phir Laut Aati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Maa Ne Kaha Phir Yeh Shabir Se Har Maa Tu Aati Nahi Laut Ke
Aye Mere Dil Mere Noor e Nazar Zahra Ka Ab Tum Se Wadah Hai Yeh
Jab Tum Bulao Gay Aaye Gi Maa Seene Se Tum Ko Lagaye Gi Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Ik Roz Aisa Bhi Aaya Tha Fatima Ka Janaza
Rukh Se Kafan Jab Hataya Shabir Ne Maa Se Pocha
Zair e Kafan Bhi Aawaz Sun Kar Aansu Bahati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Bin Maa Ke Bachon Se Aa Ke Jab Haal Pocha Ali Ne
Haye Raza Or Zeeshan Shabir Ro Ro Ke Bole
Aye Baba Ghar Mein Lagta Nahi Dil Jab Yaad Aati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Leave a Comment

error: Content is protected !!