Labaik Ya Zainab

Labaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Se Hal Min Ki Sada
Ghir Gayi Hai Shamiyon Main Phir Se Aal E Mustafa
Waqt Rone Ka Nahi Ye Waqt Hai Labaik Ka

Kuch Nahi Zainab Se Barh Kar Ye Batana Hai Humein
Fatima Zahra Ko Ek Din Munh Dikhana Hai Humein
Rokna Hai Jo Baqaiya Se Chala Hai Silsila

Rone Wale Karbala Par Us Ke Dil Ki Aas Hain
Matami Us Ki Nazar Mein Bazu E Abbas Hain
Maan Rakhna Hai Humein Ab Khwahar E Shabbir Ka

Kal Bhi Us Ne Dukh Uthaye Thi Magar Dharas Usay
Ghairat E Abbas Ban Kar Sath Main Sajjad Hai
Aaj Tanha Reh Gayi Hai Bani E Farsh E Aza

Kehte Honge Shah Se Abbas Ye Rote Hue
Main Katay Hathon Se Bhi Lar Loon Ga Fouj E Sham Se
Bas Mujhe Ek Bar Mola Izn Kar Dijiye Ata

Haye Haye Zainab Haye Haye Shaam
Chalne Ki Jo Aadi Na Thi Paidal Wohi Meelon Chali
Durre Kabhi Pathar Kabhi Khati Rahi Bint E Imam

Jane Sitam Kaisa Hua Chehra Lahu Se Chup Gaya
Bint E Ali Se Baap Ka Lete Thy Shaami Inteqam

Akbar Kare Kaise Bayan Deta Hai Jab Koi Azan
Lagti Hai Seenay Par Sina Ata Hai Jab Akbar Ka Nam

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *