Jab se hai giraya zaalim ne
Mujh pe jalta darwaza
Pal pal mein dard se marti hoon
Aaram nahi ek lamha
Jo zakhm diye hain ummat ne
Ta hashr rahenge taaza
Hasrat hai raat ke parde mein
Mera uthe paak janaza
Lailatul Qadr ho mera taboot
Ya Ali raat ko uthana tum
Mujh ko jis jis ne bhi sataya use
Meri mayyat pe na bulana tum
Haye jigar daar hain shaheedon ke
Kaleje chabane wale hain
Main hoon mazdoor inki nazron se
Meri turbat ko bhi chupana tum
Mere pehlu ka zakhm gehra hai
Mera Shabbir seh na payega
Dafn ke waqt bhi mera Maula
Haath pehlu se na hatana tum
Mere baazu ke neel dekh chuki
Meri chadar se khoon ponch chuki
In masayib se woh bhi guzregi
Kuch na Zainab se ab chupana tum
Jab se zakhmi hui hoon main Maula
Woh meri god mein nahi soye
Raat ke waqt mere bachon ko
Meri turbat mein leke aana tum
Naam leke mujhe pukara gaya
Mere ghar aake mujhko maara gaya
Teri Amma Batool qatl hui
Mere Abbas ko batana tum
Pasliyan tod di hain ummat ne
Thak chuki hoon main zulm sehte huwe
Ja rahi hoon main paas Baba ke
Ab wahin mujhse milne aana tum
Kuch to Imran haq ada hoga
Sahib-ul-Asr se karo waada
Jaan de dena, sar katana magar
Haq-e-Zahra ko mat chupana tum
