Kabhi Tou Raaz Khule ga

Ya Zehra Ya Zehra

Khamosh Rahein Kab Tak
Ye Zulm Sahein Kab Tak
Hum Sach Na Kahen Kab Tak
Bas Ashk Piye Kab Tak
Kis Ne Ye Zulm Dhaye
Ye Baat Kyun Chupain
Hum Kyun Na Mimbaron Se
Ye Daastan Sunayein

Kabhi Tou Raaz Khule Ga
Zamana Sara Kahe Ga
Haye Mazloom Hai Zehra
Ya Fatima Ya Fatima

Logon Ne Tujhe Baad Payamber Ke Sataya
Afsos Tere Ghar Ko He Zindan Banaya
Jageer Teri Cheen Li Darbar Bulaya
Pehlu Bhi Tera Zakhmi Hua Ya Zehra
Jalta Hua Darwaza Gira Ya Zehra

Rota Hoon Ke Kis Jurm Ki Ummat Ne Saza Di
Athara Baras Mein Hui Baalon Mein Safedi
Ta Marg Na Pehlu Se Hata Haath Kabhi Bhi
Kyun Zakhm Zamane Ne Diye Ya Zehra
Tazeem Teri Bhool Gaye Ya Zehra

Ummat Ye Bataye Ke Sitamgar Hui Kyun
Makhdooma E Kaunain Dilafgar Hui Kyun
Beti Wo Mohammad Ki Azadar Hui Kyun
Har Dil Ne Yehi Noha Parha Ya Zehra
Ye Kehte Hue Pursa Diya Ya Zehra

Ya Ali Ya Fatima
Nazdeek Tha Shehzadi Ka Jab Waqt E Shahadat
Kyun Karni Pari Fatima Zehra Ko Wasiyat
Jab Raat Ho Aadhi Tou Uthana Meri Maiyyat
Ye Sun Ke Ali Rone Lage Ya Zehra
Dil Thaam Ke Phir Kehne Lage Ya Zehra

Thi Kon Si Majboori Batayi Jo Ali Ne
Chalees Jagah Qabr Banayi Jo Ali Ne
Dafnayi Nahi Laash Chupayi Jo Ali Ne
Khaif Thy Musalman Se Ali Ya Zehra
Dekhe Na Teri Qabr Koi Ya Zehra

Ek Zakhm Tou Ye Bhi Tha Kaleje Mein Ali Ke
Jo Log Muhammad Ke Janaze Main Nahi Thy
Kya Khaak Wo Zehra Ke Janaze Ko Uthate
Un Logon Se Bezar Hai Dil Ya Zehra
Badle Ka Talabgar Hai Dil Ya Zehra

Dil Soch Ke Rota Hai Nabi Zaadi Wo Manzar
Jab Dekha Dam E Gusl Tera Zakhm Tarap Kar
Kyun Cheekh Ke Roye Thy Ali Sabr Ke Paikar
Rote Hue Kehte Thy Ali Ya Zehra
Mazloom Nahi Tujh Sa Koi Ya Zehra

Haq Jisne Bhi Khaya Hai Tera Us Pe Bhi Lanat
Dil Jisne Dukhaya Hai Tera Us Pe Bhi Lanat
Khoon Jisne Bahaya Hai Tera Us Pe Bhi Lanat
Mujrim Tere Qatil Hain Sada Ya Zehra
Bhoole Gain Nahi Hum Ye Jafa Ya Zehra

Kya Ye Hai Mohabbat Ka Sharafat Ka Kareena
Haider Se Adawat Thi Ke Zehra Se Tha Keena
Purse Ke Liye Aaye Nahi Ahle Madina
Aulad E Nabi Roti Rahi Ya Zehra
Zainab Ye Buqa Karti Rahi Ya Zehra

Tareekh Ki Sachayi Ko Duniya Ne Chupaya
Siddiqa Ki Baaton Ko Kisi Ne Nahi Mana
Darbar Mein Sach Kis Ne Kaha Kon Tha Jhootha
Ghasib Ko Khuda Dega Saza Ya Zehra
Kehte Hain Yehi Ahl E Aza Ya Zehra

Din Raat Dua Haq Se Karein Mesum O Mazhar
Sach Baat Na Kehna Se Darain Mesum O Mazhar
Noha Teri Turbat Pe Parhein Mesum O Mazhar
Zalim Hai Jahan Rab Tou Nahi Ya Zehra
Hai Rab Ki Adalat Pe Yaqeen Ya Zehra

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *