Lash Abbas Ki

Lash Abbas Ki Sarwar Sa Uthai Na Gayi
Laash Tukron Main Thi Ik Jaa Pe Samai Na Gayi

Bhai Ki Laash Pe Kehte Thay Ye Mazloom Hussain
Mujh Sa Baba Ki Ye Tasweer Bachai Na Gayi

Sheh Ne Akber Ko Bula Tu Liya Maqtal Main Magar
Kehfiyat Bhai Ki Bete Ko Batai Na Gayi

Mashq Sa Paani Baha Kat Gaye Abbas Ke Hath
Tishnagi Baali Sakina Ki Bujhai Na Gayi

Ye Tu Ghurbat Hai Tere Laal Ki Ayy Umm E Rubab
Warna Naiza Pe Koi Laash Uthai Naa Gayi

Dekh Kar Laasha E Qasim Ko Ye Farwa Ne Kaha
Aesi Baraat Kisi Bulha Ki Ayi Na Gayi

Kar Diye Bhai Pe Qurban Pisar Zainab Ne
Phir Kabhi Rasam Ye Duniya Main Nibhai Na Gayi

Choda Sadiyun Sa Bahate Hain Samandar Anson
Aag Sadaat Ke Khaimo Ki Bujhai Na Gayi

Baad E Shabbir Hua Seena Ba Seena Matam
Ghar Main Sadaat Ke Phir Eid Manai Na Gayi

Run Sa Har Aik Ke Lasha Ko Utha Laye Hussain
Lash Shabbir Ki Haye Maqtal Sa Uthai Na Gayi

Jaise Maa Roti Hai Kuch Aese Sakina Royi
Laash Mazloom Ki Beti Sa Churai Na Gayi

Jis Tarhan Ibn E Mazahir Ne Nibhai Yasir
Dosti Aesi Kisi Sa Bhi Nibhai Na Gayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *