Ehsaas E Yateemi Hai Veeraan Hai Ali Ka Ghar
Bin Baap Ke Ye Pehli Raat Aayi Hai Bachon Par
Roti Thin Kahin Zainab Shabbir Kahin Shabar
Fiza Ne Jo Dekha Tu Kehne Lage Ro Ro Kar
Maa Bhi Na Ho Duniya Mein Aur Baap Bhi Mar Jaye
Allah Kisi Par Bhi Ye Waqt Nahin Aaye
Ye Raat Khuda Jaane Kis Haal Mein Guzre Gi
Bachon Ki Nigahon Mein Tasveer Hai Baba Ki
Baba Sa Juda Hokar Kis Tarah Jiya Jaye
Maiyyat Jahan Rakhi Thi Zainab Wahi Baithi Hai
Abbas Ke Chehre Ko Ab Dekh Ke Roti Hai
Kehti Hai Koi Mere Baba Ko Bula Laye
Haathon Main Raqiya Ke Baba Ka Muslla Hai
Kulsoom Ke Hathon Mein Baba Ka Amama Hai
Baba Nahin Aayen Gain Ab Kaun Ye Batlaaye
Maa Yaad Jo Aaye Tu Wo Aate The Turbat Par
Rukhsat Kiya Baba Ko Hasnain Ne Ye Keh Kar
Milne Kahan Jayen Gain Jab Baap Ki Yad Aaye
Ab Mujh Ko Rulata Hai Shehzadi Ka Wo Kehna
Fiza Mere Bachon Se Tum Door Nahn Rehna
Maa Baap Ke Ban Jeena Mushkil Hai Bohat Haye
Is Aalam e Ghurbat Main Maa Zinda Agar Hoti
Been Baap Ke Bachon Ko Seenain Sa Laga Leti
Aghaza Yateemi Hai Dil Ghum Sa Na Phat Jaye
Bhooli Hai Kaha Zainab Wo Chumna Shano Ko
Jab Sham Main Dekha Gi Rasi Ke Nishano Ko
Yad Aye Gi Baba Ki Us Waqat Bohat Haye
Zeeshan O Raza Haye Noha Tha Ye Fiza Ka
Ab Betiyon Ke Sar Par Saya Nahn Baba Ka
Mushkil Hai Yateemon Par Ye Raat Guzar Jaye
