Maar Gaya Baba

Maar Gaya Baba Teri Zainab Ko Abbas Ka Marna Maar Gaya
Bin Baazuon Ke Wo Ghazi Ka Ghoray Se Girna Maar Gaya

Jab Khaime Main Aaye Shah E Umam Haathon Main Tha Bas Ghazi ka Alam
Abbas Nahi Ab Aayega Bhai Ka Ye Kehna Maar Gaya

Main Sher Ke Jaise Bhai Ka Pehchan Nahi Payi Lasha
Qasim Ki Tarhan Se Ghazi Ka Tukron Main Bikharna Maar Gaya

Jab Aankh Se Teer Nikala Tha Main Dekh Rahi Thi Khaime Se
Mere Ghazi Ka Khoon Sarwar Ke Haathon Se Tapakna Maar Gaya

Ye Shaam Ke Zalim Tou Apne Ghoron Ko Pilaate Hain Paani
Haathon Main Liye Khaali Koze Bachon Ka Bilakna Maar Gaya

Jab Se Ye Suna Hai Ke Pyasa Saqqa E Sakina Mara Gaya
Ab Paani Nahi Mil Paye Ga Asghar Ka Samajhna Maar Gaya

Zalim Ne Charhaya Tha Ran Main Jis Naize Par Abbas Ka Sar
Us Naize Se Baba Meri Chadar Ka Utarna Maar Gaya

Raahwaar Pe Ho Kar Bhi Jis Ke Khat Paon Zameen Par Kheenchte Thy
Us Bhai Ka Asghar Jaisi Turbat Main Simatna Maar Gaya

Maqtal Main Bohat Dhoondha Us Ne Laasha Na Mila Do Haath Mile
Un Haathon Se Meri Bachi Ka Ro Ro Ke Lipatna Maar Gaya

Zeeshan Kaha Ye Zainab Ne Jab Sheh Pe Chali Terah Zarbein
Ghazi Ko Sadaein De De Kar Bhai Ka Tarapna Maar Gaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *