Arsh Ke Taare Hussain
Zahra Ke Pyare Hussain
Tum Ho Humare Hussain
Hum Hain Tumhare Hussain
Mah E Aza Lo Namodar Hua
Ghar Mein Mere Bich Gaya Farsh E Aza
Jan O Dil E Fatima Badshah E Karbala
Ban Gaya Mehman Mera
Falak Pe Phir Se Moharram Ka Chand Nikla Hai
Hussain Walo Ne Kaala Libas Pehna Hai
Kahin Pe Noha Kahin Par Sada E Girya Hai
Shah Alaikas Salam
Aye Mere Bekas Imam
Aap Pe Sab Kuch Fida
Kisi Ke Hath Mein Abbas Ka Alam Hoga
Koi Uthaye Ga Taboot Ibn E Zahra Ka
Kahin Se Taziya Jhoola Kahin Se Nikle Ga
Hogi Qayamat Bapa
Royein Ge Ahle Aza
Shor Hai Ashoor Ka
Gali Gali Mein Sabilo Ka Ehtemam Hai Phir
Dilo Ki Pyaas Bujhane Ka Intezam Hai Phir
Ghareeb E Zahra Ka Jari Labon Pe Naam Hai Phir
Aake Sabilo Ke Paas
Jo Bhi Bujhata Hai Pyaas
Deta Hai Dil Se Sada
Har Anjuman Mein Hai Seenazani Ki Tayyari
Naye Kalam Hai Sabki Zaban Par Jaari
Qadeem E Qarz Pe Hoti Hai Phir Azadari
Taziye Khane Khule
Matami Shane Khule
Hota Hai Matam Bapa
Be Abi Anta Wa Ummi Ya Hussain
Kehta Hai Har Dil Yehi
Ho Mere Maa Baap Bhi
Aap Pe Maula Fida
Tabarrukat Ke Sandooq Laye Jate Hain
Alam Pe Patke Pharere Sajaye Jate Hain
Sabeel Lagti Hai Saqqe Banaye Jate Hain
Le Ke Shaheedon Ke Naam
Bante Hai Pani Ke Jaam
Dete Hai Pyase Dua
Karo Hussain Ka Matam Karo Azadari
Farat Ankhon Se Jaari Ho Aise Ashkon Ke
Ke Khali Hath Na Jaye Rasool Ki Beti
Hath Mein Rumaal Hai
Maa Ka Ajab Haal Hai
Deti Hai Bibi Dua
Alam Pe Mashk E Sakina Saja Ke Rote Hain
Kisi Ko Dhoop Mein Pani Pila Ke Rote Hain
Kabhi Kisi Ko Tabarruk Khila Ke Rote Hain
Naam Idhar Agaya
Syed E Mazloom Ka
Aankh Se Dariya Baha
Huwe Hain Khalq Takallum Hum Is Aza Ke Liye
Humari Qaum Ke Bache Ghulam Asghar Ke
Jawan Sab Ali Akbar Ke Naam Par Sadqe
Taa Ba Zahoor E Imam
Royein Ge Ye Khas O Aam
Wada Hai Is Qaum Ka
